Windows 7, 8 Pe operating system me audio, graphics driver kasie install kiye jate hai, iske bare me jankari lene wale hai.
Jab hum new computer buy karate
hai, ya new operating system install karate hai , tab usme hume audio sunayi
nahi deti hai kyon ki usme audio drivers install nahi hote hai. Ya kabhi kabhi
humara pen drive pc ko connect karane par bhi show nahi hota hai kyon ki iske
drivers humare computer me install nahi hote hai.
Drivers Kya Hote Hai?
Jaise humari vehicle ko chalane ke
liye driver hota hai usi parkar computer me kisi bhi program ko chalane ke liye
alag alag drivers hote hai.
Jaise Audio, video, graphics, USB,
etc.
Agar humare computer me USB driver
install nahi hai to hum koi bhi usb device jaise mouse, keyboard, pen drive
computer ko connect nahi kar sakate hai. Connect karane par hume wo computer me
show nahi karega.
To isliye humare computer me sabhi
drivers install hone jaruri hai.
Driver install hai ya nahi Kaise Cheek Kare:
1. Start button pe click kare
2. My computer pe click kare phir
properties pe click kare.
3. Device manager pe click kare.
4. Ab aapko sabhi devices ki list
show hogi ab ek ek karke uspe click kare. Jiske niche aapko yellow question
mark show hoga iska matlab hai ki wo driver humare computer me install nahi
hai.
Driver Kaise Install Kare?
Offline:
Agar aapke pass driver ki CD/DVD
avalible hai to usse hum driver install kar sakate hai. Ya phir market me aapko
driver ki separate CD/DVD mil jati hai, iske jariye hum offline driver install
kar sakate hai.
Ya phir apne kisi friend se driver
ka backup pen drive me lekar uske jariye bhi hum driver install kar sakate hai.
Online:
Agar aapke pass driver ki CD/DVD
nahi hai to aap driver ko online download karake install kar sakate hai.
Online driver ko install karane ke
liye appko all in one drivers chahiye to internet se Drive pack Solution
Name ki file download karani hai. Driver pack solution file me hume all driver
milate hai. Usko download karake hume jo drivers chahiye wo hum install kar sakate
hai.
Other software’s:
Driver genius
Driver Easy
Ye dono software install karane ke
bad hume internet se connect karana hai, ye software humari system ko scan karate
hai humare system me jo driver missing hai, jo driver updates ko aaye hai unko
download karate hai. Jo driver hume jaruri hai wahi in software ki help se
download karane hai.
Drivers Ke Names:
Bluetooth Driver: Bluetooth ke
liye
USB Drivers: All types of usb ke
liye
Wifi/ Wireless Driver: wifi ke
liye
Audio Realtek/ Audio Driver: Audio
ke liye
Video / VGA drivers: Video ke liye
Network Drivers: Lan, internet ke
liye
Agar aapke man me koi sawal ho to
aap niche comment ke jariye hume bataye hum aapke problem ka pura solution dene
ki koshih karenge.
Aap humare latest updates ko direct
apne inbox me pane ke liye subscribe kar sakate hai.
bro... mere paas HP Compaq nx7300 laptop hai usme CD/DVD mount nahi hoti hai konsa driver install hoga
ReplyDelete@ Nizam,
DeleteAap ye driver try kare "hp DVDRAM GT20L".
Sir mere pass driver ka backup hai or mere laptop me usb nhi le rha hai kya karu samajh me nhi aa rha hai
ReplyDelete@Aniket,
DeleteInternet se download karlo ya phir driver ki CD/DVD se install karlo.
sir mere computer me net nhi chal raha jabse window dali h tabse plzz hlep me sir kese chalun net mobile se chalta h wifi but wifi modem se nhi
ReplyDelete@Areeb Khan,
DeleteAap android mobile se computer me net kaise chalate hai ye post read kare
bhaiya mere lappy me camera open kr rhi hun to likha arha h
ReplyDeleteto get started connect to camera ????
ab kya kru???
namu
@MY poetry,
DeleteAap laptop me koi webcam software install kariye.
Hello sir mere ki window format krna hai lekin cd dalne k bad format ka option ni a rha or window m sound be ni chal rha
ReplyDelete@Format karne ke bajay sound driver install kariye.
Deletemere system se emaill nahi ho raha hai karne pr install emaill program ka massege aarha hai
ReplyDelete@Email ke liye driver ki jarurat nahi hoti Gmail par account kholiye aur phir mail kariye.
DeleteSir mera dell ka laptop h isme camera open nhi ho rha kya kre
ReplyDelete@Sachin,
DeleteRealtek IR Camera Driver Ya phir Dell WebCam Software Application Install kariye.