Aaj Email
humare daily life ka ek part ban gaya hai. Sabhi ke pass apna email account
hona kitana jaruri hai, ye hum sab janate hai, lekin agar aapko pata nahi ki
mobile, computer se email kaise send kiya jata hai, to is post ko read kijiye.

Kayi yese beginner
hai jinko pata nahi hota hai, ki email kaise send kiya jata hai, usme koyi
file, image kaise attach ki jati hai, to chaliye aaj hum email kaise send kiya
jata hai, wo dekhate hai.
Computer aur
mobile se mail send karane me thoda sa difference hai, isliye mai yaha pe aapko
dono method batane wala hu.
1. Computer Se Email Kaise Send Kare:
Step 1:
Sabse pahale
aap apne email account me sign in karle. Agar aapke pass email account nahi hai to aap 2 minutes me bana sakate hai.
Step 2:
Account me sign
in karane ke bad aapke left side me Compose Ka Option hoga uspar click
kare.
Step 3:
Ab aapke
samane kuch niche ki tarah ek form khul jayega.

Recipient:
Aap jis kisi
ko email send karane wale hai, uska email id yaha dalana hai.
e.g. Umesh@gmail.com
Agar aapko ek
hi email ek se Jayda logo ke send karana hai to yahi par hi sirf comma dekhar
hume uska address add karana hota hai.
e.g.
Umesh1@gmail.com,
umesh2@gmail.com, umesh3@gmail.com
Subject:
Yaha par email
ka jo subject hai wo hume dalana padata hai.
Message:
Niche aapko
message me jo bhi likhana hai, wo aap puri details me likh sakte hai.
Agar aapko
email kuch file jodani hai, jaise word ki file, pdf file to aap attachment
par click karake bhi jod sakate hai.
Image ke option par click karake image bhi add kar sakate hai.
CC & BCC: agar aap uski email ki carbon copy (CC) aur blind carbon copy (BCC) kisi
ko bejana chahte hai to isme unka email dal sakate hai.
Finally send
par click karate hi aapko email send ho jayega.
2. Mobile Se Email Kaise Send Kare:
Agar aapke
pass computer nahi hai aur email send karana hai to mobile se bhi send kar
sakate hai.
Step 1:
Mobile me jo
email ka option hota hai, uspar click kare. Sabhi mobile me jayadatar gmail ka
hi option hai, usko open kare.
Step 2:
Gmail open
karane ke bad aapke inbox me hi aapko last me right corner me ek arrow show
hoga. Aap niche image me dekh sakate hai, uspar click kare.

Step 3:
Ab humare
samane ke form hoga, usme
To : jisko email send karana hai, uska email id dale.
Subject: Me humare mail ka subject dale.
Compose email: yaha par pura details aap likh sakate hai.

Compose ek
samane hume 2 sign dikhayi denge. Usme
se pahala wala hai, Attachement ka agar huke koi file attach karani hai to yaha
se kar sakate hai.
Dusara wala
sign hai send karane ke liye jab humara pura mail taiyaar ho jaye tab us option
par click karate hi aapka email send ho jayega.
Is tarah hum
mobile aur computer dono se mail send kar sakate hai. Aapke koi sujaw, sawal ho
to comment me puch sakate hai.
Aapki ye jankari bahut achhi hai hame v sand karna nahi aata tha ab aapki post ko padhkar sikh gaye thanks useful jankari ke liye
ReplyDelete