Agar aap ek
website owner hai ya webmaster hai to aapko broken links ke bare me pata hona
jaruri hai.
Hume apne
blog, website ki broken links ko check karake unko remove karana padata hai,
iske liye kuch tools, website ka use kiya jata hai, jiske bare me hum yaha
charcha karenge.
Broken Links Kya Hai:
Broken links
ko dead links bhi kaha jata hai. Jab blog ki kisi bhi link par click karane par
wo link open nahi hoti hai usko broken links kaha jata hai.
Ye wo links
hoti hai jo humari site par work nahi karati hai, iska reason hota hai, galat
URL ko add karana ya phir add ki hui hyperlink delete ya remove ho jana.
Hum apne blog
post me internet links as well as external links bhi add karate hai. Lekin
kabhi kabhi external, internal links me add ki gayi post delete ya remove ho
jati hai, ya phir uska URL change kiya jata hai. To jo purani wali link hoti wo
dead ho jati jisko broken links kaha jata hai.
Jiski wajah
se humare site par 404 error show hone lagata hai.
Broken
Links Kyon Create Hoti Hai:
Broken Links
Kyon Crate hoti hai:
1. Comment Me
Galat Web Address Dalana:
Jab koi user
kisi website par comment karata hai tab jiske pass website nahi hoti hai wo
website field me kuch bhi likh deta hai aur waha par broken link ban jati ahi.
2. URL Change
Kar Dena:
Kayi bar hum
apne blog post ki permalink change kar dete hai lekin humane duare post me us
post ki internal link add ki hoti hai iski wajah se bhi broken links ban jati
hai.
Broken
Links Kyon Fix Kare:
1. User ko
frustrate karati hai. User pareshan ho jata hai , aur humari site ko visit nahi
karata.
2. Isse page
rank par bhi bad effect padata hai.
How
to Find and Fix Broken Links:
To chaliye
janate hai ki broken link kaise find kare aur unko fix kare.
Step 1:
www.brokenlinkchecker.com is website par chale jaye phir waha par jakar apne blog, website ka URL
enter kare. Uske bad Captcha code enter kare aur find broken link now par click
karde.
Step 2:
Kuch der wait
kare wo site humare blog ki puri links ko scan karenge aur niche hume show
karenge. Humari site par jitni bhi broken links hogi wo hume show hogi. Niche
image me aap dekh sakate hai.
Step 3:
Broken links
ko fix karane ke liye broken links kaha aur kis page me occur ho gayi hai wo
aap URL aur SRC par click karake check kar sakate hai.
URL par click
karane par hume wo url show hoga jisme broken link hai.
Step 4:
Ab apne blog
ko open kare us post ko open kara jaha broken link hai aur usko thik karake
blog post ko update karde.
Ek ek karake
sabhi broken links ko isi tarah fix karle.
To is tarah
hum apne blog par jo broken links hai unko fix kar sakate hai.
Kon sa tool sabse better hai brokeb link ko check karne ke liye.
ReplyDelete@Lakshman,
DeleteUpar website batayi hai wo best hai.