Aaj sabhi ke sath ye problem ho
jati hai, ki hume kisi unknown number se call aati hai. To yese Mobile Number ki Jankari, ya phir sim card ki location kaise maloom ki jati hai iske bare me hum janane wale hai.

Kabhi kabhi by mistake is tarah ho
sakata hai, lekin kayi logo ko spam, ya unknown call se bar bar missed call
aate hai. Aur jab hum usko recall karate hai tab wo phone uthatha nahi, ya phir
mobile switch off kar deta hai. Isse hume kafi dikkat hoti hai, hum soch me pad
jate hai ki aakhir ye mobile number kiska hoga.
Phir hum sochate hai, ki kya
mobile number ki information, location track karane ka pata karane ka koi
taraika hai ya nahi. To isi ka jawab aapko is post me mil jayega jiski help se
aap jiska chahe uska mobile number ka location aur kuch basic information pata
kar sakate hai.
Mobile Number Ki Information, Location Kaise Pata Kare:
1. True Caller:

True caller ye ek android app hai
aur iski website bhi available hai.
True caller app ka use 2 Billion
se bhi jyada logo ne isko download karake apne mobile install kar liya hai.
Jab koi user true caller install
karleta hai, tab usko name, address, truecaller ke database me save ho jata
hai. Jab bhi koi aur true caller user us mobile number ko search karata hai,
tab us user ka name, address aapko display hota hai.
Lekin isme dikkat ye hoti hai, ki
jab new user true caller par register karata hai, tab wo jo name waha dalaga
wahi name hume search karane par milega isliye wo name asli hai ya fake iski guarantee
nahi hoti hai.
Agar aapko kisi number ki details
pata karani hai, to aap true caller app ka ya phir website ka use kar sakate
hai.
True caller app se aap kisi bhi
country ka mobile number find kar sakate hai.
2. Findandtrace
Website Ki Help Se:

Website: http://www.findandtrace.com/trace-mobile-number-location
Kisi bhi user ki puri details hum
internet ki help se pata nahi kar sakate hai. Kyon ki jo mobile number user
hote hai, unka name, address publicly available nahi hota hai.
Lekin is website se hum itna to
pata laga sakate hai, ki
Mobile number network operator/ Service
provider – eg Idea, Vodafone, airtel etc.
State: Mobile
number kis state ka hai.
Connection Status: Abhi
number shuru hai ya band
Connection Type: Prepaid
ya postpaid
Main Language in Telecom Circle: Waha use
hone wali main languages
Mobile Reputation &
Monitoring:

Agar aap us mobile number ki
shikayat karana chahte hai to niche diye hue kisi 1-2 option par tick mark kare
aur Register Complaint Here par click kare.
3. Mobile number
Tracker Website Ki Help Se:

Website: http://www.mobilenumbertracker.com/
Is Website par hum kisi bhi mobile
number ko maps par track kar sakate hai.
Aapko jo bhi mobile number track
karana hai, wo number without 0 or +91 lagaye bina enter karana hai aur locate
par click karana hai.
Ab wo mobile number jis location
par hoga wo hume map par show hoga.
To is tarah upar di gayi website
aur application ki help se hum kisi bhi mobile number ki location aur kuch
basic information find kar sakate hai.
Bahut Hi Achi Janakri Hai
ReplyDelete