Website ki traffic, earning Kaise check kare, website ki AdSense earning kaise pata kare?
Most of the blogger blogging start
karate hai earning karane ke liye. Blog se kayi tarah se earning hoti hai usme AdSense,
affiliated marketing method hoti hai.
New blogger blog start karate hai
aur pahale 4-5 month me hi blogging chod dete hai, unko lagata hai blogging se
earning nahi ho sakati.
Lekin wo galat hai, kayi blogger
apne blog se acchi earning kar rahe hai. Kuch blogger apne site ki earning
report bhi share karate hai. Isse new blogger ko inspiration milata hai.
Agar blog naya hai, popular nahi
hai to hume lagata hai ki wo earning nahi kar rahe hai. Lekin yesa nahi hota
hai. Isliye aap kisi ke bhi blog, website ki traffic aur sath me earning bhi
dekh sakate hai.
Kuch site hai jo hume kisi bhi
site ki traffic aur earning report show karati hai. Lekin ye report exact
nahi hoti hai. Ye sirf estimate earning show karati hai.
Aap jo site check kar rahe hai
uspar adsense active hai to us site ki estimate earning aap dekh sakate hai.
In site se aap apne friend, competitor
ki earning ka anumaan laga sakate hai, kyon ki kayi log unki earning share bhi
nahi krate hai aur na hi batate hai.
How to check earning report of any Site, Blog:
1. www.statscrop.com
Humare site ki ya kisi aur ke site
ki daily earning report check karane ke liye best site hai.
Waha jakar sirf site ka URL dalana
hai. statscrop hume
Daily visitor:
Daily page views:
Daily bandwidth:
Daily Revenue: (Earning)
Website Wroth:
Ye sabh hume show karati hai. Daily
revenue me hume site ki daily earning hum pata kar sakate hai.
2. http://www.siteprice.org
Another second best jo estimate
earning batati hai, jo actual earning se thodi bahut upar niche hoti hai.
Site price hume
Daily unique visitor,
Daily ads revenue,
Daily page views,
Monthly, Yearly ads revenue show
karati hai. Sath me domain age, backlinks kitani hai in sabhi ki Jankari
bhi is site par mil jati hai.
3. http://checkwebsiteprice.com
3 site hai jaha par jaha par hum
website ki earning pata kar sakate hai.
Is site par bhi daily unique
visitor, monthly visitor, and daily revenue, monthly ads revenue dekhane ko
milega.
To in 3 sites ki help se hum kisi
bhi website ki earning pata kar sakate hai. Lekin ye estimated earning hoti
hai. Mostly ye site humari site ki value check karane ke liye istmaal ki jati
hai. Agar aap apni website sell karana chahte hai ya buy karana chahte hai. To
in sites ki help le sakate hai.
Di gayi website se hum kisi bhi
blog ki earning ka andaz laga sakate hai.
0 Comments: