Aadhaar Card Kaise Nikale


Aadhaar card kasie nikale, aadhaar card kaise dekhate hai. ya apne aadhaar card ka status kaise check karate hai. Aur agar aapka aadhaar card lost ho gaya hai to uski bhi copy kaise download kar sakate hai. To chaliye janate hai step by step.


Aadhaar card kaise download karate hai



Aadhaar Card Kay Hai?

Aadhaar card ek unique identification ke liye use kiya jata hai jisme 12 digit ka unique number hota hai. Aadhaar card Indian Government Ki taraf se jari kiya jata hai ise humare India me Address proof, Identity proof ke liye use kiya jata hai.



Aadhaar Card Ka Use Kya Hai?

Aadhaar card India me kahi bhi identification ke liye use hota hai.
Iska use hum kahi par account banane ke liye use karate hai jaise ki agar hume sbi ka saving account open karana hai to aapko waha par proof dena padata hai.
Iska use Government hi her ek skim ke liye hota hai jaise gas connection ke liye aadhar card lagata hai.

    

Aadhaar card ke bare me kuch terms:

UID Number: Aapko kahi jagah pe UID number manga jata hai UID number yane Unique Identification Number Hota Hai. Jo ki aapke aadhaar card pe print hota hai, wo 12 digit ka hota hai.

EID: Enrollment Id jab hum kisi authorized center me aadhaar card banava lete hai tab wo hume ek print out deta hai (Enrollment Slip) uspar aapka EID number print hota hai, ye 14 digit ka hota hai. Aur iske sath me uski date aur time bhi hoti hai.
E.g. 1234/12345/12345 09/09/2015 11:10:25

     

Aadhaar Card Kaise Download Kare?

Agar aapka aadhar card aapke address pe nahi pahucah ya phir gum ho gaya hai to phir aap uski soft copy download kar sakate hai. Aadhaar card download karane ke liye aapke pas Enrollment Number hona chahiye ya phir Aadhaar number hona chahiye jise aap apne aadhaar card ki electronic copy download kar sakate hai. Aapko sirf di gayi steps ko follow karana hai.

      
Step 1: 
Yaha se aadhaar card ki site pe chale jaye https://eaadhaar.uidai.gov.in/


Step 2:
Phir aapke samane ek form khul jayega waha se “I have” ke samane se ek option select kare.
Agar aapke pass enrollement id hai to uspar tik mark kare aur agar aapke pass aadhar card number hai to aadhar pe tik mark kare. Mai yah ape enrollment id select kar raha hu.

Enrollment Number/Aadhaar Number: Isme 15 digit number aur date and time dale jo ki aapke enrollment ki print out pe hota hai.
Full Name: Isme aapna pura naam dale.
Pin Code: Apna pin code dale.
Enter above text image: Upar ki image me jo number diye hai wo dale.
Mobile Number: yaha par koi bhi number dale upar aapko 6 digit ka one time password aayega.

Get one time password pe click kar de.


Apni Puri details Dale

Step 3:
2-3 minute me aapko ek message aayega usme 6 digit number hoga wo dalkar validate & download pe click kare.


One Time Password send kiya hai




OTP Dalkar Download Kare



Step 4:
Aapka Aadhaar card download ho jayega. Aadhaar card open karate samay wo aapko password magenga Aadhaar card ka password aapka pin code hota hai wo dalkar uski print le le.

Lost Enrollment ID/ Aadhaar card Number Kaise Find Kare?

Agar aap apna enrollment id/ Aadhaar card number find karana chahate hai to niche di gayi steps follow kare.
Note: Enrollment id find karne ke liye aapke pass register email id ya mobile number hona jaruri hai. Jo ki aapne Aadhaar card ko aaply karate samay diya hota hai. Agar aapke pass mobile number ya email id nahi hai to phir aap enrollment id nahi find kar sakate hai.

     

Step 1:
Yaha click kare https://resident.uidai.net.in/find-uid-eid



Step 2:
“You want to receive your lost” iske aage se aapko ek option select karana hai.
Lost Aadhaar Card Kaise Find Kare


Step 3:
Personal details me aapna pura naam nice email id ya phir mobile number dale, enter security code me upar ki image ke digit dale aur get otp pe click kare.

Step 4:
Enter Otp received me aapko jo otp aaya hai waha dalkar verify otp pe click kare.

OTP ko verify kare



Step 5:
“Congratulation! Enrollment Number (EID) has been send to your mobile “ yesa message aayega.


Message aa jayega



Step 6:
Aap yaha se bhi Aadhaar card download kar sakate hai.


To dosto hume ye jana ki Aadhaar card kaise download kare ya phir apne lost Aadhaar card ka ya enrollment id kaise finde kare aasha karata hu ki aapko meri ye post aachi lagi hogi aga koi problem ho to niche comment karana na bhule.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

3 comments:

  1. Aadhaar card download karte samay pincode insert ho nahi Raha hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. @ Saurabh,

      Google chrome browser me try kare ho jayega.

      Delete