Online Shopping Kaise Kare Step By Step Guide




Aaj internet ka uga hai aur iske jariye hum internet se kuch bhi kar sakte hai jaise apna result dekhana, online payment karana, recharge kar sakate hai waise hi online shopping bhi kar sakate hai.

Online Shopping Kaise Kare

Aaj internet ki is duniya me kuch bhi namumkin nahi raha hai. Hum ghar baite kuch bhi kar sakate hai. Lekin aaj bhi kayi sare yese log hai jinko online shopping ke bare me puri jankari nahi hai isliye wo online shopping karane me katarate hai. To hum aaj is post me yahi janenge ki kisi bhi site se online shopping kaise ki jati hai.

Online Shopping Ke Fayade:

Online shopping karane ke fayade kya kya hai iske bare me bhi janana jaruri hai kyon ki aap kahenge ki jab hum bazar se saman la sakate hai to phir online shopping kyon?

Iske kuch fayade maine niche bataye hai.
1. Time Saving:
Agar aap kahi office me kam karate hai aur aapko shopping ke liye time nahi milata hai to ye ek accha option hai aap ghar baithe ya apne office se koi bhi chiz order kar sakte hai. Iske liye aapko bazar me jane ki koi jarurat nahi padegi.

2. Money Saving:
Sabhi ecommerce ki sites ka B2C Me kam karate hai yane business to direct consumer iski wajah se aapka bahut sara money save hota hai.
Ye jo sites hai unpar kafi acchi discount offer, promo codes hote hai jinka use karake aap apne pasie bacha sakate hai.




3. Pasand Na Aaye to Wapis Kar Sakate Hai:
Agar aapne kisi chiz ko order kar diya aur bad me wo chij aapko pasand na aaye to aap usse wapis kar sakate hai. Har ek site ke returane ki kuch conditions hoti hai. Kisi site pe aap 10 din me to kayi 30 din me wapis kar sakate hai.




4. COD (Cash On Delivery)
Ye sabse badiya option diya hai, cash on delivery ka matlab jab aapka product receive ho jaye tab hi aapko paise dene hai. Aapko purchase karate samay cash dene ki koi jarurat nahi hai.

Shopping Ke Liye Kin Chijo Ki Jararat Padati Hai?

Aapke man me ye sawal firstly aata hai shopping to karani hai par iske liye hume kin chijo ki jararatt padati hai.

1. Jis site pe shopping karani hai us par account
2. Valid mobile number, email id
4. Mobile Ya Computer
5. Address (Jis par aapka product receive hoga)

Sabse main question ye hai ab online shopping kaha se kare yane kaun si site sabse acchi hai to aap filpkart, amazon, ebay, paytm, snapdeal etc. Ye India ke sabse popular sites hai jaha se aap shopping kar sakate hai.



Shopping Kaise Kare?

Kisi bhi site par shopping karane ki same hi method hoti hai. Aaj hum flipkart se shopping kaise karate hai ye sikhenge.

Step 1:
First filpkart ki site pe chale jaye. Aapko jo product kharidana hai usse search box me dalkar search kare.

Step 2:
Search karane ke bad apko jo product pasand aa jaye use select kare. Aur BUY NOW pe click kare.

Buy Now Pe Click Kare


Step 3:
Ab aage ek window open hogi usme aapko apna mobile number dale aur continue pe click kare.

Mobile Number Dale


Step 4:
Ab aapke mobile pe ek code aayega us code ko dalkar password set kare aur continue pe click kare.

Code Dale


Step 5:
Deliver Address me aapko pura name, pincode, address, land mark, city, state aur mobile number dalkar save and continue pe click kare.

Pura address Dale


Step 6:
Order Summary me aapko niche apna email id dalkar save pe click karane ke bad continue pe click karana hai.

Email Id Dale


Step 7:
Payment Method
Isme aapko six option dikhayi denge agar aap credit card, ya debit card se payment karana chahate hai to apna card number dale, Expiry date, CVV Code aur Card par jo aapka name hai wo dalkar Save and pay karde.


Payment Method Select Kare


COD (Cash On Delivery):
Agar aap abhi payment nahi karana chahate ya phir aapke pass credit card, debit card nahi hai to aap ye option select kare aapko jo chij hai wo jab aapko mil jayegi tab aapko uska payment dena padega.




Ab aapne saman purchase kar liya hai ab 5-7 day ke under aapke address pe aapki chije ghar me aa jayegi.
Agar aapko online shopping karane me kuch dikkat aa rahi to phir aap comment me bata sakate hai. Mai use solve karane ki puri koshih karuga.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

0 Comments: