Android Mobile App Kaise Banaye-App Banakar Paise Kaise Kamaye

Android Mobile App Kaise Banaye. App Banakar Paise Kaise Kamaye. Bina coding ke android application kaise create kiya jata hai, aaj hum is post me janate hai.

Android App Kaise banaye

Aaj hume play store pe bahut sare application dekhane ko milate hai, kisi bhi chiz ka android app hume play store pe mil jata hai. Lekin kya kabhi aapne khud ke android app ke bare me socha hai, agar aapke pass koi website, blog, ya koi business hai, aur uska aap android app banana chahate hai, to niche di gayi step ko follow kare aur free me android application create kar le.


Main yaha pe apni website ke liye application bana rahu hu, jab ye app play store pe publish karenge to yesa karane se humare blog ki traffic increase ho jayegi.

Android App Kaise Banaye:

Step 1:
Aapsgeyser.com is website ko apne browser me open kar le.

Step 2:
Website par jane ke bad waha pe Create Now ka green button hoga uspe click kare.


Step 3:
Agle page me aapke samane application list hogi jisme website, messenger, browser, blog, news, Facebook page, photo editor, matching puzzle ye category hogi usme se aapko jiska app banana hai usko select karo. Hum yaha website select kar rahe hai.

Category me se koi bhi ek select kare

Step 4:
Ab apni website ka address dale. Address dalate samay WWW. Jarur dale.
E.g. www.hindimeearn.com

Website ka address dale

Step 5:
Next step me app ko name de jaise Hindi Me Earn is tarah kuch bhi name de sakate hai.

App Ka Name Dale

Step 6:
Ab application ke liye kuch description dalkar next pe click kare.

Description Dale

Step 7:
Ab next step me application ke liye koi icon dalana chahate hai to upload kare ya phir default hi rahane de aur next pe click kare.

Icon Select Kare

Step 8:
Ab finally Create button pe click kare. Ab aapka application ready hai.

Create Pe click kare

Step 9:
Hume application google play store par publish karane ke liye account create karana hoga. Verify your app verification isme apna email id, password, retype password dalakar sign up kare.

Sign up form fill kare

Step 10:
Ab apne account me log in kar le dashboard se publish option pe click kare.

Step 11:
Agar aap apne is application ko apne blog, website par downloading ke liye publish karana chahate hai. To aapko Place QR widget on Your Website iske niche jo html code hoga usko copy karle.

Step 12:
Blog, website par chale jaye aur us copy kiye hue code ko HTML/Text Gadget me paste karde.
To is tarah hum kisi bhi chiz ka android application bilkul free create kar sakate hai. Iske liye aapko paise kharch karane ki koi jarurat nahi hai.
To upar di gayi kisi bhi step me aapko koi problem ho to aap comment me jarur bataye.
Aur humare latest updates ke liye subscribe jarur kare. Aur humari website ko Bookmark (Ctrl+D) Me save kar le.

Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

4 comments:

  1. Bhai esme ager music ka ap banan hai to usme apne music kaise dalenge taki koi app khole to mere songh dikhe use or sun sake vo

    ReplyDelete
    Replies
    1. @ Ajay Kumar,

      appsgeyser website par jane ke bad waha se Media category select kare -> uske bad Music select kare aur apne jo song hai unka url usme dal de.

      Delete
  2. वेबसाइट बनाकर पैसा कैसे कमाते है।
    आज कल यूट्यूब पर देखा है। कि ब्लोगेर या वेबसाइट बनाकर पैसा कमाये सब बातें है ।
    प्लीज़ रिप्लाई जल्द

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Ji ha bana sakate hai, lekin uske liye html, css, SEO, Inka knowledge hona jaruri hai.

      Delete