Photo Par Naam Kaise Likha Jata Hai



Kisi bhi photo, image pe apna khud ka naam kaise likha jata hai, is post me janate hai.

Photo Par Naam Likhana

Kisi bhi image pe apna khud ka name, text type karana behat hi aasan aur simple hai. Iske liye humare pass photoshop software hona jaruri hai.
Agar photoshop nahi bhi hai to koi bat nahi windows operating system me jo inbuilt paint software jiski help se hum photo pe name likh sakate hai. To chaliye step by step janate hai.

Hum is tutorial me adobe phtoshop 7 ka use karane wale hai, lekin text tool ka option sabhi photoshop ke version me same hi hai. Aur uska use bhi same hi hota hai.

Photoshop Me Text Tool Ka Use Kaise Kare:

Step 1:
Sabse pahale photohsop software ko open kare.

Step 2:
Jis photo pe text likhana hai, usko photoshop me open kare. Ab tool box se text tool select kare.
Text Tool Select Kare


Step 3:
Text tool me horizontal text tool aur vertical text tool dikhayi dega.
Sidhe line me text type karane ke liye horizontal tool ka use kare. Aur agar text ko upar se niche type karana hai to vertical text tool select kare. Ab jo text type karana hai wo type kare.
Step 4:
Phir text ka color, font, size, font size change kare. Niche image me dikhaya gaya hai.
To is parakar hum adobe photoshop me kisi bhi photo pe name likh sakate hai.


Text Type Kare

Paint Me Photo Pe Name Kaise Likhe:

Agar aapke pass adobe photoshop nahi hai, to ms-paint me bhi hum photo pe text likh sakate hai.

Step 1:
Computer ke start button pe click kare. Aur Search me paint dalakar enter kare, ab paint program ho jayega.


Step 2:
Paint me jis image pe likhana hai, usko open kare.

Step 3:
Ab text tool se aap jo chahe wo text type karle. Phir us text ko select karake uska font, font ka color, font ki size change karale. Ab finally image ko save karde.


Paint me text type karana


To in simple steps ko follow karake kisi bhi image, photo pe hum apna name, ya koi text type kar sakate hai.
Upar di gayi kisi step me aapko koi problem ho to aap niche comment me bata sakate hai.
Sath hi aapke sujav bhi humse share karana na bhule. Humare latest updates pane ke liye subscribe jarur kare aur humari website ko Ctrl + D press karake bookmark kar le.

Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

0 Comments: