C Language in Hindi. Aap C
programming to sikhana chahate to aapko c program compile, run karane ke liye
Turbo C software ki jarurat padati hai. Windows 7, 8 in operating system ke
liye Turbo C software hai jiski madad se aap program run kar sakate hai.
Mai is post me
aapko bataunga ki kaise hum kisi bhi operating system me chahe wo windows 7, 8
inme 32 bit ya phir 64 bit hai to bhi koi problem nahi hoga. Pahale kya hota
tha windows 7,8 me C program ko run karane me bahut problem aati thi par ab
uske liye Turbo C software available hai ji windows 7,8 ke bikul fit hota hai.
Turbo C Download Aur Install Kaise Kare:
Step 1:
Aapko software
download karane ke liye niche di gayi link pe jana hai aur software download
karana hai.
Software: Setup_TurboC_7_v2.1.rar
(Download Link)
Size: 4 MB
Step 2:
Software
download karane ke bad software ko extract kare. Extract karane ke bad jo .exe
file hai uspe double click kare. Aur software install karle.
Step 3:
Ab software
install ho gaya hai ab start menu me se turbo c ko start karle.
First Program Kaise Run Kare:
Ab aapko C
programming me first program likhana hai aaj hum sirf chota sa program
dekhenge.
Step 1:
Turbo C
software open kare. Phir menu me se file me click kare aur new file select
kare.
Step 2:
Ab program
wirte kare maine niche jo program diya usse simple copy karle.
Step 3:
Ab program ko
compile kare compile karane ke liye menu me se compile option pe click kare. Agar
koi error aa raha hai to usse solve kare.
Step 4:
Menu me se run
pe click kare. Aapko program ka output dikhayi dega.
Program Ko Understand Karate Hai:
/*program
for the print hello world*/
#include<stdio.h>
#include<conio.h>
Void
main ()
{
printf(“/n
Hello World”);
getch
();
}
Starting me jo
humane /* */
iske bich me
program ka jo name likha hai wo comment section hai isme hum kuch bhi likhe
compiler isko ignore kar deta hai. Ye sirf humare understanding ke liye hota hai.
Uske bad
#include stdio.h, aur # include conio.h
ye jo code hai
isko file inclusion kaha jata hai ye files isliye jaruri hoti kyon hi hum program
me printf, scanf function use karate hai uskeliye ye files compulsory hoti hai.
Void Main ()
Ye ek main
function hai program me ek to main function hona jaruri hai.
Agar aap
program me int main (), int main (void) use karate hai to aapko function ko
zero value return karani padati hai aur uske liye hum return 0 use karate hai.
Jab hum Void
Main () use karate hai tab hume getch () function ka use karana padata hai.
Printf:
Ye ek output
function hai aap jo bhi is function me likhoge wo aapko program run karane ke
bad display hota hai.
“/n”:
Iska use code ka
output ko new line me display karane ke liye kiya jata hai.
Turbo C software
ki help se aap koi bhi program run kar sakate hai. Agar aapko software install
karane me koi problem aa rahi hai to comment me jarur bataye taki mai us problem
ko solve kar saku.
0 Comments: