How to Upgrade Paytm Wallet

Apne paytm wallet ko upgrade kaise kiya jata hai iske bare me hum janane wale hai. Hum sab janate hai ki paytm aaj India sabse popular aur trusted wallet hai jiski help se hum online shopping, bill payments, and online recharge kar sakate hai.

Upgrade Paytm Wallet

Paytm Wallet Upgrade Karane Ke Benefits:

1. Normal user ki monthly transaction limit Rs.10,000 hai. Agar hume isse jayada shopping karani ya phir koi transaction paytm par karana hai to hume “Wallet transaction limit exceeded” is tarah ka message show hota hai.

2. Paytm wallet upgrade karane par humari monthly transaction limit Rs.1 Lakh (Rs. 1, 00, 000) ho jati hai.

3. Paytm ki taraf se acche aur fantastic cash back offer milate hai.

4. Cashback hume quickly mil jata hai.
e.g. kisi mobile pe hume 25% discount hai tab normal user wo cashback receive hone me kafi waqt lagata hai, lekin upgraded user ko cashback within quick time me mil jata hai.

5. Upgraded user Paytm through unlimited transaction kar sakate hai. Paytm par account upgrade karana bilkul free hai.

Paytm Wallet Upgrade Kaise Kare:

Step 1:
Agar aapke pass paytm ka mobile app hai to usme log in karle. Ya phir paytm.com par jake account me log in karle.

Step 2:
Profile option pe click kare.Ya phir is link pe click kare https://paytm.com/settings/upgrade
Step 3:
Upgrade Your Account pe click kare. Ab nice apna address dale. Address sahi dale qyon ki paytm ki taraf se ek currier boy / paytm employee aapke address ko visit karega aur aapke jo KYC document hai wo collect karega.
Submit pe click kare.

Request a visit from agent

Step 4:
Ab aapko paytm ki taraf se call aayega ki KYC visit ka schedule fix karane ke liye.

Step 5:
Paytm ki taraf se unke executive officer (Currier boy/employee) aayega. Aapke document ki copies ko collect karega aur sath me original document ko bhi dekhega.

Step 6:
Document submit karane ke bad paytm us document ko review karega aur aapka account upgrade ho jayega.

Also Read:

Mobile App Se Kaise Upgrade Kare:

1. Paytm app me log in kare.

2. Left side me jo 3 dots hai uspe click kare aur niche upgrade your wallet pe click kare.

3. 2 option dikhayi denge
Visit our center: is option ko select karane par aapko khud paytm center me jake apne KYC document submit karane padate hai.

Request a pickup: Yane paytm se unka employe humare diye hue address pe aayega aur document collect kar lega.


Mobile App



4. Request a pickup pe click kare. Apna address dale aur submit pe click kare.

KYC Document Konse Upload Karane Hai:

Address Proof:
Aadhaar Card
Passport,
Driving License
Voter Id,
Utility Bill: Jaise Electricity bill, Phone Bill etc.
Bank Account Statement

Identity Proof:
PAN card with photograph
Aadhaar card,
Voter ID
Driving License

In me se koi bhi document aur recent passport size photo hume KYC document ke taur par submit karane hote hai.

To is tarah simple steps ko follow karake hum apna paytm wallet upgrade kar sakate hai.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

2 comments:

  1. koi charge bhi lgta hai request a pickup ka

    ReplyDelete