Unocoin: How to Create Bitcoin Account In India



Hello, dosto humne ye to jan liya ki Bitcoin क्या है? Uska Use kya hai. Aur 1 bitcoin ki kimat approximately Rs.70000 tak hai. To aaj hum ye janege ki bitcoin ka account kaise kholate hai.


Bitcoin Account Kaise banaye Jane Hindi me


Jaise apna bank account number hota hai waise hi hume bitcoin send ye receive karne ke liye bitcoin account ki jarurat hoti hai. Wo kuch is prakar ka hota hai. E.g 30uAbMganupShBVTewXjrtvBv5MnDwf2hb

To chaliye janate hai bitcoin ka account kaise kholate hai?

Unocoin India ka sabse popular bitcoin wallet hai jaha se aap bitcoin send, receive ya buy kar sakate hai. Aur earn kiye gaye bitcoins ko apne bank account me jama kar sakte hai.

Bitcoin Account Kholne ke liye Aapko in document ki jarurat hogi.

1. Scanned copy of PAN Card

2. Scanned copy of Passport Size Photo

3. Scanned copy of ID proof (Aadhar Card, Voter ID Card, Driving License etc)


4. Scanned copy of Address Proof (Aadhar Card, Voter ID Card, Driving
License, Telephone Bill etc)
In Sub document ki aapko jarurat hogi agar apko unocoin par account nikalana hai to.




Also Read :

·        Bitcoin kya hai?


Bitcoin Account Ke registration ke liey step follw kare?

Step 1. Unocoin ki site pe jaye.
Website: Unocoin.com

Step 2: Registration pe click kare.

Step 3: Apna email id dale & password dale jo aap chahe aur agar niche referral code me U-42516 aur coupon code ka option hai to usme DAN 200 dal de use aapko Rs.200 free me mil jayege.


Step 4: Apke email id pe uncoin ki taraf se mail aaya hoga use open karke verify kar dena hai.

Step 5: Phir unocoin ki site pe redirect ho jayege T& C ko accept kar le account me aapni puri details fill up kar de.
Apka Naam :
Pan Card Number:
Pura Address:

Step 6: Sabse Important step ab aapko verification ke liye apne document upload karne padate hai jo maine upar diye hai.




Step 7: Document successfully upload karne ke bad aapke account me pending ka option hoga. Apko 1-2 din me unocoin ki team se call aaj jayega. Phir aapko wo jo sawal puchenge unka sahi jawab dena hai. Jaise wo aapse aapka aadhar card ka address, ya number puchenge tab aapko wo batana hoga. Apne sahi Jankari dene ke bad 1 ghante me aapka account verify ho jayega.


Account verified ho chuka hai


Step 8 : Verification complete ho jane ke bad aapko apna bank account jodana jis par aap paise receive karna chate hai.
Account Setting me Jaye => bank account setting me jaye aur bank details bhar de.


Bitcoin to Bank Account



Bitcoin ko Indian Bank Account Me Kaise Transfer Kare?

Jab aapke pass 1 ya adha bitcoin ho jaye to sell ke option pe click kar de.
Bitcoin amount dale aur sell pe click kar de.
Aadhik jankari ke liye aap unocoin support team ko contact kar sakate hai.

Toll Free Number:  (7am-11pm Mon-Sat)
Email : support@unocoin.com

Aasha karta hu ki aapko meri ye post acchi lagi hogi agar aap ko kisi bhi step me koi dikkat ho to comment karna na bhule.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

13 comments:

  1. unocoin a\c verified ho gaya h ab unocoin me bitcoin address kaha h kon sa h kese pata kre

    ReplyDelete
    Replies
    1. @ Nitesh Patel,

      Bitcoin Address: 30uAbMganupShBVTewXjrtvBv5MnDwf2hb is parkar ka hota hai.
      Unocoin me log in Kare -> Left side me Bitcoin Option pe click kare -> Send/Request pe click kare aapko apna bitcoin address show hoga.

      Delete
  2. Unocoin account ke liye mere pass sab documents he par pancard ki sirf xerox he vo thik nahi he but pancard no sahi he to kya vo accept karenge

    ReplyDelete
    Replies
    1. @ Sanjay,

      Aap wo document upload karke dekho ki unocoin accept karata hai ya nahi. Agar accept kar liya to thik hai nahi to unocoin ke customer care se aap apni yahi problem share kare wo aapki jarur help karenge.

      Delete
  3. Sir mara pas passpord aur talifon bil
    Nahi hai .aur baki sob hai .to Kaya Mary
    Account bansakti hai unocoin ma

    ReplyDelete
    Replies
    1. @ Haradhan,
      Upar unocoin customer care ka number diya hai aap uspar call karake puch sakate hai.

      Delete
  4. @ Rupender,
    Unocoin account me log in karane ke bad left side me bitcoin option par click kare - niche buy aur sell pe click kare ab aapko right side me yellow color ke background me address show hoga.

    ReplyDelete
  5. Replies
    1. @Amit,

      Zebpay bhi accha hai lekin personally mai Unocoin use karata hu.

      Delete
  6. Free ka bitcoin keshe kamye.

    ReplyDelete
  7. Mere pas pen card nahi he kya me pen card ke bina account verify nahi kar saktA

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Raju,
      Bina Pan Card ke account verify nahi kar sakate.

      Delete