साइबर क्राइम क्या होता है ? Indian Cyber Law in Hindi, Indian Cyber Law In Hindi, IT ACT 2000 in Hindi. Dosto, Is post me aaj mai aapko batane wala hu cyber-crime
aur uske laws ke bare me.
Aaj ka ugg internet ka use hai. Aaj har kisi ke pass
smartphone, laptops, tablets hai unme 90 % logo ke internet maujud hai.
Aur kayi log roz internet use karate hai. Internet ke is
ugg me utani hi teji se crimes bhi bad rahe hai. Ispar rok lagane ke liye India
me IT Act 2000 laya gaya isme guna karane walo ko section ke hisaab se saja di
jati hai.
Ye law cyber-crime aur e-commerce se related hai.
Cyber space kay hai?
Cyber space ek yesi vast term hai jisme hum internet,
mobiles, software, e-commerce, ya online contract simple bhasha me electronic
devices in sab chijo ka samavesh hota hai.
Cybercrime kya Hai?
Jab Koi Internet, Electronic devices, (jaise pen drives, and
memory cards) use karke koi crime karata hai to use cyber-crime kaha jata hai.
Cyber Crime Me in chijo ka samavesh hota hai.
1. Hacking
– Kisi ka account hack karana ya koshish karana.
Website hack karana ya
koshish karana.
Kisi Ka software crack
karana.
2. Stealing
- Kisi Ke password ki chori karana
3. Virus
– Virus Create karana aur kisi ko link send kar dena.
4. Pornography
– Ashlil photo, video, babana, use internet pe dalana
5. Intellectual
Property – Yane Kisi Ne Khud Create Ki hui chij ko chori karana. Jaise Kisi Ne
Khud se Logo, Music, Software, website create kiya hai to aap uski permission
ke bager wo kahi par bhi use nahi kar sakate.
6. Sending
Defamatory Email: Aap kisi ko bhi bina kisi vajah se harassment wale emails
nahi send kar sakate.
Iseme aur bhi chije hai unka cyber-crime me samavesh hota
hai.
IT ACT 2000 Kya Hai?
Cyber-crime par rok lagane ke liye IT Act 2000 banaya gaya
hai. Isme her ek crime ke liye alag se fine (punishment) aur Imprisonment (jail)
ho sakati hai.
IT Act 2000 me total 94 sections hai jine 19 chapter me
divide kiya gaya hai.
IT Act pure India Me lagu hota hai.
IT ACT 2000 Ke Section Aur Penality :
Crime
|
Section
|
Punishment
|
1.Tempering
with source code (Kisi ne banaye gaye software, project, ke source code ke
sath chedchad)
|
65
|
Fine up to 2 lakhs and /or jail 3 sal tak
|
2.
Hacking ( kisi ka account hack karana ya karane ki koshih karana )
|
66
|
Fine up to 5 lakhs and /or jail 3 sal tak
|
3.
Receving stolen devieces (Kisi Ke chori kiye gaye mobile, pc , laptop ka use
karana)
|
66 B
|
Fine up to 1 lakhs and /or jail 3 sal tak
|
4.
using password or digital signature (Kisi ke password ki chori karana)
|
66 C
|
Fine up to 1 lakhs and /or jail 3 sal tak
|
5.
Publishing Private Images (Kisi ki bhi private image facebook )
|
66 E
|
Fine up to 2 lakhs and /or jail 3 sal tak
|
6. Publishing
Sexual Images
|
67 A
|
Fine up to 10 lakhs and /or jail 7 sal tak
|
7. Violation
of Privacy
|
66 E
|
Fine up to 2 lakhs and /or jail 3 sal tak
|
Source: https://en.wikipedia.org/wiki/Information_Technology_Act,_2000
Yaha pe jake aap sabhi section ki puri details read kar
sakate hai.
Also Read:
Whats App & Facebook Use Karate Samay Dyan Me Rakhe Ye Bate:
Aaj kal har koi whats
aap aur facebook use karata hai par unhe ye malum nahi hota hai ki hume kya
share karana hai aur kay nahi. Mai aapko kuch bate batata hu.
1. Kisi
ka account hack karane ki koshih na kare. Aajkal har koi tricks dundata raheta
hai ki kisi ki facebook id kaise hack kare, website kaise hack kare but unhe ye
pata nahi ki yesi koshih karana bhi ek prakar ka cyber crime hai.
2. Kisi
ki bhi permission liye bina uske photo, video ko aap whats app ya facebook par
share na kare. Aajkal ke logo ko koi bhi chij shoot karke use whats app pe
share karane me behat maza aata hai. Par aapki ye harkat mehgani pad sakati
hai.
3. Aap
whats app, facebook par offensive link ya photo, video share nahi kar sakate.
4. Koi
yesa image, ya video ko share na kare jisme dharm ya religion ke realted badkau
bhasha ho.
5. Kisi
ke bhi pc, mobile, se data na le uski permission ke bina.
6. Facebook,
whats app pe virus bhari link share na kare.
Asha karata hu ki ye information aapke
kam ki hogi aur agge se aap ye dyan me rakahe ki whatsapp aur facebook kis
tarah ke message send kar sakate hai aur uske nuksan ya fayde kya hai.
Agar aapko ye post acchi lagi ho to apne
friend ke sath social media pe share karana na bhule.
Great up
ReplyDelete