Whatsapp tricks and tips in hindi : How to Create WhatsApp Braodcast Messaging

Whatsapp tricks and tips in hindi. WhatsApp Braodcast Messaging Kaise shuru kare. Hi, Dosto aaj mai aapko whats aap ke 1 feature ke bare mai batane wala hu.Aaj kal whats app ka use bahut bad gaya hai. Whats app pe bahut acche services hai jaise messaging, calling, aur broad cast messaging, to is post me hum broadcast messaging ke bare me janate hai.

WhatsApp Broadcast Messaging

Whatsapp broad cast: Broad cast messaging kya hai ?

Agar aapke pass website hai aur aap apni website ka promotion whats aap pe karna chate hai to iska use kar sakte hai. Aur bhi bahut se kamko ke liye aap iska use kar sakate hai.
Wahts aap messaging 1 to many ki tarah kam karta hai.






Whats app broadcast messaging use karne se pahale ye dyan me rakhe:

Aap iske jariye same message apne 250 dosto ke 1 sath share kar sakate. Aapko wahi message bar – bar send karne ki jarurat nahi hai. Iske liye aapko broadcast list taiyar karni padati hai.

Aapke recipients ko message regular message ki tarah hi dekhega. Aur wo aapko reply dega tab bhi wo regular message ki tarah dikhega.

Aap message 250 friends ko share karenge lekin samne wale ko ya pata nahi chalega use lagega use akele ko hi message send kiya hai. Aapne ek sath list me message share kiya hai use regular message ki tarah message dikhega.
Lekin dyan me rakhe samne wale friends ne aapka phone number contact me save kiya hona chahiye warna ye message spam khelayega.




Whats App Broadcast messaging kaise start kare ?

Step 1:  
Whats app par upar three dots pe click kare image me dekhege.

Select three Dots

Step 2: 
New Broadcast pe Click Kare.

New Broadcast pe click kare

Step 3:
Uske bad apko contact search karne hai jo aapko aad karne hai ya + ke sign pe click kare. Aapko Niche Ye message dikhega
Important: Only contact with +91---------- in their address book will receive your broadcast message.
Iska matlab aapka number aage save hona chahiye.


Contact Search Kare



Step 4: 
Contact Select Kare aap maximum 250 friends select kar sakte hai aur minimum 2 contact . Select karne ke bad done pe click kare.

Contact Select Karke Done pe click kare

Step 5: 
Bad me Create pe click kare.




Step 6: 
Aapka Broad cast list taiyar hai aap use profile picture upload kar sakte hai. Broad cast List ko name de sakte hai.

Step 7: 
Message send karke deke.

Send Message




Broad cast list me member add/ remove kaise kare ?
Agar aapko contact list me kisi ko add karna hai ya remove karna hai to
Broadcast list info pe click kare => Uske bad add recipient pe click kare.
Remove karna hai to broadcast list info pe click kare => Contact name ko select karo jisko remove karna hai aur remove pe click kar do.





Broad cast list Delete kaise kare ?
Broadcast list info pe click kare => Delete Broadcast Pe click kare.

Aasha karta hu ki aapko ye article pasand aaya hoga agar isme koi dikkat ho to comment karna na bhule. Aur Hamare Latest Updates ke liye subscribe karna na bhule. Facebook Pe follow kare.


Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

0 Comments: