Hollo, dosto aaj hum baat
karenge ki apne blog me facebook like box kaise add karate hai. Facebook ye ek
subse popular social networking site hai. Agar hum apne website ka facebook
page banate hai to waha se aapko apne site ke liye acchi traffic mil sakati
hai. Aur facebook like box apne blog pe add karne se koi new user aata hai to
wo yaha se aapke facebook page ko like kar sakata hai.
Facebook like box add karane
par aapki site ki design bhi professional lagane lagati hai. To chaliye janate
hai kaise facebook like box add karate hai uski maine 2 method batayi hai.
Method 1:
Step 1: Facebook like box add
karane ke liye aapke pass apni website ka facebook page hona chahiye. Uska url
kuch is tarah se hota hai. www.facebook.com/hindimeearn
Facebook Page Url : Waha
pe aapko aapko apne page ka url dalana hai.
Tabs : timeline
agar aap yaha se timeline select karate hai to aapke facebook like box ke niche
aapke timeline post dikhayi degi niche screenshot dekhe.
Width :
width dale e.g.250
Height :
height dale e.g.350
Uske bad get code pe click
kar de. Iframe pe click kare aur code copy kar le.
Method 2 :
Maine yaha pe jo code diya hai use copy kar le
Upar diye code me hindimeearn
ki jagah apne page ka url dal de. Iski aap width aur height bhi badal sakate
hai. Isme maine without timeline select kiya hai to ye niceh diye screen shot
me dikhaya hai waise dikhayi dega.
Step 3 : Kisi bhi ek method
se code copy kar le. Uske bad aapne blog ki dashboard me chale jaye.
Step 4: Niche layout me click
kare aur add gadget pe click kare.
Step 5: Waha se Html/Text
widget select kare.
Step 6: code ko paste kar de
save pe click kare.
All you have done. Aapne
facebook like box successfully add kar liya hai. Agar aap facebook like button
add karana chaye to niche ki step puri karo.
Step 1: https://developers.facebook.com/docs/plugins/like-button/
pe click kare.
Step 2: fir niche information
dal de.
Url to Like : me
apne facebook page ka url dale.
Width : usme
width dale e.g.250
Layout:
Standard Rakhe
Action Type : Like
Get code pe click kare.
Iframe me jo code hai use copy kar le. Aur is code ko apne blog ki html/text
gadget me paste kar de. Facebook like button kuch is tarah dikhayi dega niche
screen shot dekhe.
Aasha karata hu dosto ki
aapko meri ye post acchi lagi hogi aur aapne apne site pe facebook like box add
kar liya hoga. Agar koi problem ho to comment karana na bhule.
Aur latest updates ke liye
humara facebook page like karana na bhule.
0 Comments: