Dosto, Aaj hum bat karane
wale hai vijay shekhar Sharma Ji ke bare Me. Kuch logo ko pata hoga ki Ye Paytm
ke Founder Aur CEO hai. Agar nahi bhi pata to is post ko padane ke baad aapko
pata lag jayega. Vijay ji ne kitani mehanat ki paytm ko is mukaam tak pahucha ne
ke liye.
Paytm Kay hai ?
Aaj jise dekho paytm ke bare
hi bat kar raha hai. Paytm ye ek e-wallet hai jiski madad se hum online recharge, bill payment, online shopping aur bus, railway ki tickets bhi
books kar sakate hai.
Paytm ka android aap 1 crore
se bhi jayada logo ne download kiya hai.
Paytm aaj India Ka top most
e-wallet hai.
Par kya aap janate hai ke aaj Paytm top most hai wo kisiki wajah se?
Vijay Shekhar Sharma Ji Paytm
Ke founder aur CEO hai. To chaliye janate hai unke bare me. Vijay Ka kahana hai
ki unhe paytm ka idea tab aaya jab unke pocket me Rs.10 the. Pahale Vijay Ji ne
one97 naam ki company shuru ki thi. Aaj bhi wo paranet company hai.
Vijay Shekhar Sharma Ji Ka Family Background:
Vijay Ji kam janm ek small
village Aligarh, Utter Pradesh me hua. Aur unone aapna education hindi me
complete kiya. Vijay ke pitaji ek School Teacher the.
Also Read:
Vijay Shekhar Sharma Ki College Life:
Wo apne school me bahut hi
hoshiyar the. Aage Vijay Ji ne DCE (Delhi College of Enginearing ) ko admission
liya. Vijay ji ki English bahut hi weak thi qyon ki wo rural area se the. Vijay
jo pahale to English ki vajah se kafi problem ko face karana pada phir vijay ji
apne sath dictionary rakhane lage. Aur English Apne dosto se, seniors se English
sikhate gaye.
Vijay ji ka ye kahana hai ki
rural background hone se unhe kafi madad mili wo aage dhire dhire kafi kuch
properly sikhate gaye.
Vijay ji ne jab college join
kiya to wo bhi sochate the ki college pura karane ke baad mujhe bhi auro ki
tarah Rs.10000 ki job lag jaye to bus…! Wo jab college me the tabhi wo online
magazine, newspaper padate the. Tabhi Vijay ji ne Silicon Valley Ke bare me
pada. Aur unka aim padal gaya wo sochane lage ki job se behatar mujhe India me
hi kuch karana chahiye.
Failure In Life:
Kisi bhi badi waqti jo ki aaj
success hai wo kahi na kahi fail bhi hue hai. Par wo apne failure par rote baite
nahi. Wo apni galatiyo se sikhate gaye aur unhe sudarate gaye.
Vijay ki life me kuch yesa hi
hua tha Jab wo college me the to Vijay ji ne indiasite.net ki website banayi thi
phir use bech diya.
Paytm Kab Shuru Kiya ?
Vijay Ji ne Shuru Me one97
pvt.ltd naam ke company shuru ki jo ki ek Phone directory thi jise aap kisi ka
bhi number thund sakate the. Baad me kuch wahaj se unka business crashed ho
gaya. Unke partner ne bhi unka sath chod diya. Ghar wale kahane lage ki koi job
dhund lo. Aur Shadi ke liye bhi unke piche the par naukari na hone ke karan
unse shadi karane ke liye koi bhi razi na tha.
Tabi smart phone bahut
popular the usi ke related kuch karane than li aur PayTM Mobile Wallet ki
shurwat ki. Aur ab 50 million logo ke 60 million transcation hote hai 1 mahine
me.
Paytm ki promotion ki liye
Cricket Ke sath Advertisement ki unone 200 corod Rs. Ispe Kharch kiye.
Vijay Ji kahate hai “I believe,
IF you are it, you should got it. I believe Life got better with mobile
payments. Cash Create Corruption in the economy,
E –commerce can help to
remove that. “
To dekha dosto aapne ki agar
man me kuch karane ki lagan ho to hum kisi bhi pareshani ka samana karke age
bad sakate hai.
Apne aap ko dusare ke sath
compare mat karo agar aapne yesa kiya to aap khud ki insult kar rahe hai yesa “HITLER”
Ji ka kahana hai.
Information Source:
1. https://paytm.com/blog/paytms-vijay-shekhar-sharma-the-success-story-behind-the-man/
Dosto Agar aapko ye post
acchi lagi ho to social media pe apne dosto ke sath share karana na bhule.
Very nice post
ReplyDelete