Aaj Hum dekengi ki hum kaise ghar
baitakar apna saving account open kar sakate hai.
State Bank of India Bharat ki
sabse popular bank hai. Sbi apne customer ko badiya se badiya services provide
karane ka kam karati hai.
Agar aapko apna saving
account banana hai to aapko pahale niche di gayi document jarurat hogi.
1. Recent passport size ke 2 photo
2. PAN card (compulsory nahi hai )
3. Proof of address (Ration
Card, Aadhaar Card, Voting Card, Phone bill, light bill)
4. Proof of identity (Aadhaar
card, voting card, driving license etc.)
Saving Account Kholne ke
liye Hume Steps Complete Karani Hai:
1. Online Form fill up karana hai.
2. Form ki printout lekar use di
gayi document jodke bank me jama karana hai.
3. Bank me jama karne ke bad 7-8
din me aapka account number aa jata hai use account number pe aapko kum se kum
Rs.500 deposite karane hai bank me jakar. Aur bank se apna passbook bhi lena
hai.
4. 4-5 din me aapka ATM Card by
post se aapke ghar aapne jo address diya hai uspe aa jayega.
5. ATM Card ke sath aako uska pin
bhi aa jayega nahi aaya hai to aap apne bank me jakar waha se le sakate hai.
Saving Account Kaise Banaye Jane Step By Step:
Step 1:
Online Sbi ki site pe chale jaye
STATE BANK OF INDIA
[IN]https://oaa.onlinesbi.com/
Uska URL check karana na bhule
security ke liye.
Step 2:
“Apply Sb Account” Pe Jaye
Niche ‘ For Resident Individual select kare’ Aur aage se ‘regular sb
account’ pe click kar de.
Step 3:
Aage ‘Apply Now’ Pe click
Kare.
Step 4:
‘ Start New’ Pe click kar
de.
Step 5:
Personal Details Ka Page aapke
samane hoga Usme Aapko
Customer Type: yaha se
Public/Staff/senizor citizen/minor select kare. Mai Public Kar raha hu.
Name: Aapka Naam Dale
Father/guardian Name: Apne Father
Ka Pura Naam Dale
Date of Birth: Apni DOB Dale.
Nationality, Mother’s Meiden Name
: Maa Ka naam dale , Marital Status: Aap Shadi shuda hai ya nahi select kare.
UID : Unique identification Yane
apna Aadhaar Card Number Dale.
Step 6:
Correspondence Address and
Permanent Address:
Yaha pe aapko apna pura address
dalana hai. Mobile Number aur pin code bhi dalana hai aur niche di gayi Captcha
code ko box me dalkar Processed pe click kare.
Step 7:
Aapke samane ek pop up window khul
jayegi (usme likha hoga ki aap apni details verify kar le) use ok kare.
Step 8:
Ok karane ke bad niche TCRN (Temporary
Customer Reference No) e.g AC641245 dikhayi dega use likh le. Aapke mobile
pe bhi message aa jayega. Save and Processed pe click kar de.
Step 9:
Additional Details Wherever Applicable:
Religion: Apan Dharam Select Kare.
Educational Qualification: Aapki
padayi select kare.
Category: Yaha Se Apni Sub Caste
Select kare.
Occupation Type : Aap kya kam
karate hai wo select kare.
Montly Income : apna mahine ke
income dale Rs. Me
Step 10:
IT PAN or Form 60/61 :
Agar aapke pass Pan card hai to
pan card select kare aur uski details bar de.
Agar aapke pass pan card nahi hai
to form 60/61 pe click kare.
Usme aapka naam, address bhar de.
Particular of Transaction – a.
Opeaning of Me Saving Account
b. Issue of Debit Card Me Visa Debit Card Bhar le.
Amount of transaction Me : Aap
kitani amount jama karana chate hai account open karate samay wo dale
Niche Aap Address verification ke
liye kaun se document jama karane wale hai wo dale. Save and processed pe click
kare.
Step 11:
Identification Details:
Id Type: Yaha Se 1 id card (Voting
card, aadhar card etc.) select kare.
No : id card ka number dale.
Issued at/by : Aapka id card kaha
nikala ya kisne nikala ye dale.
Issue Date : Aapka id kab issue
hua uski date dale.
Proof of identity: Yaha par bhi
upar ki tarah details dale.
Details of other Accounts in our bank:
Agar aapka pahale se hi sbi ki kisi brach me account ho to uski details dale.
Save and Processed pe click kar
de.
Step 12:
Account Type & Services Required:
Type of Account: Yaha se aap aapko
kya- kya chayiye select kare with Debit Card without check book etc.
Details of Application: Yaha pe apna
TCRN dale
Branch Code: Aap jis bank me aapna
account open karana chahate hai uska branch code dale. Agar aapko malum nahi
hai to branch locator pe click kare.
Serviecs Required: Jo service
chahiye use tik mar kare.
ATM cum debit card, Internet
Banking, Sms alerts on mobile no, processed pe click kar de.
Uske bad aapke samane TARN number
aayega use likh le aapke mobile no par bhi message aa jayega.
Step 13:
Nominate
Agar aap apke account ke liye kisi
ko nominee banana chahate hai to yaha se select karke bana sakate hai. Save and
processed pe click kare.
Step 14:
Print out Ke liye Application
Download Kare:
Aapka account create ho gaya hai
Download Completed Application pe click kare aur TARN number and Date of birth
dalkar apne application ka pdf file download kar le.
Sir bank me form submit karne ke bad account no. Kaise aayga mean bank me jakr lana padega ya mobile par aayga
ReplyDelete@ Vineet,
DeleteAccount number hume bank me jake lena padata hai.
Sir me apna banking account banane ki kosis kar raha hun par sabmit karne ke baad bhi try again letter aa raha h
ReplyDelete@Suraj,
DeleteAgar aap mobile se account bana rahe hai to mobile ke bajay computer se try kare.
Aur usme latest browser jaise chrome se sbi ki website opne kare aapka problem solve ho jayega.
Sir uski zarurat bhi to hoti he na jiske thuru new account open kr rhe he or signature uska account number kese hoga
ReplyDelete@ Sarfraz,
DeleteForm ki printout lene ke bad Introducer ka option hoga usme aapko us waqti ka account number aur signature lena jaruri hai.
very supr news sir, form 64 ki compulsary rahti hai to wo kaha se download kare without bank ke
ReplyDelete@Rohit,
DeleteAap kis form ki baat kar rahe hai.
Sir agar account bank se hi open kare to kab tak khul jata hai
ReplyDelete@Vijay,
DeleteBank ke work load me depend hai, maximum 1 week me open ho jata hai. Yane agar aaj aap form fill karke document ke sath submit karate hai to 1 week ke bad aapko account number mil jayega.
Kouse she app she ghar bhaite account bna shakte hair
ReplyDelete@App nahi hai SBI ki website hai.
Delete