Hello, Dosto aaj mai aapke sath ek yesi tips share karane jara hu
jo aap sabke liye kam hi hai. Aaj hum janengi ki kaise hum apne paytm account
se dusare paytm account me paise transfer kar sakate hai ya phir bank account
me transfer kar sakate hai.
Agar aapke ye question hai to aapko iska answer mil jayega.
Apne dost ko paytm se paise kaise send kare.
Pyatm to Paytm money Kaise transfer Kare.
How to transfer paytm wallet money?
Pyatm se bank me paise kaise transfer kare.
Bina OTP ke money kaise tranfer kare.
Pyatm Account se friend ko cash kaise transfer kare.
Paytm Se Paise Transfer Karane Ke Liye Kya-Kya Jaruri Hai?
Agar hume paytm se paise transfer karane hai to humko niche di gayi
chijo ki jarurat hogi.
1. Paytm Account:
Aapke pass paytm ka account hona jaruri hai. Agar aapke pass paytm
account nahi hai to is post ko padhkar aap paytm account bana le.
2. Updated Pyatm Ka App:
Agar aapko amount transfer karani hai to aapko iske liye paytm
android app ki jarurat hogi aap site ke jariye amount nahi transfer kar sakate.
3. Dusara Paytm ka Account Number:
Aap ko jise paytm cash transfer karana hai uska paytm number malum
hona jaruri hai. Aur agar aap bank account me transfer karana chahate hai to
phir aapko uska bank account kiske naam par hai wo naam , account number aur uska IFSC Code
malum hona chahiye.
Paytm Se Cash Kaise Transfer Kare:
Ab man ke chelate hai ki aapke pass upar di gayi 3 chije available
hai. To chaliye pahale janate hai ki kaise hum paytm to paytm balace transfer
karate hai. Paytm se Dusare paytm me bina kisi fees ke aap cash transfer kar
sakate hai.
Step 1:
Apne paytm application se account me log in karle.
Step 2:
Ab aapko upar pay to send option
dikhayi de raha hoga upse click kare.
Step 3:
Apne dost ya jisko cash transfer karani hai uska mobile number dale, niche amount dale, what is it for (Optional) is me agar aap kuch likhana chahe to likh
sakte hai jaise small gift from to my best friend.
Aur send money par click kar de.
Step 4:
Aagr aapko OTP pucha jayega to jo aapke register mobile number pa
aajayega us dal de. (Kabhi kabhi OTP nahi puchate hai.)
Step 5:
Successfully transfer ka message dikhayi dega.
Paytm Se Bank Me Paise Kaise Transfer Kare:
Step 1:
Android application ki madad se apne paytm account me log in kare.
Step 2:
Upar jo option pay to send dikayi
de rahe hai uspe click kare.
Step 3:
Account Holder ka Naam, Account Number Aur niche amount dale
Step 4:
Aage aapko IFSC Code Dalna Hai agar aapko pata hai to directly dale
aur nahi pata hai to phir pahale bank name select kare le, uske bad state, phir
city aur finally branch ka jo name hai wo select karke Continue
par click kare.
Step 5:
Phir aapko kitnai amount transfer karani hai wo dale aage aapko
uski fess kitni lagegi wo dikhayi dega. Yaha pe mai Rs.500 send kar raha hu to
mujhe Rs.20.83 fees extra deni padegi. Agar aap kuch comment denga chahe to what is it for (Optional) is me dekar send
money pe click kar de.
Step 6:
Aagr aapko OTP pucha jayega to jo aapke register mobile number pa
aajayega us dal de. (Kabhi kabhi OTP nahi puchate hai.)
Step 7:
Kuch hi minutes me apki money transfer ho jayegi.
To dosto aaj humane jana ki kaise hum paytm se mobile me aur bank
me paise transfer kar sakate hai agar isme aapko koi bhi problem ho to comment
karana na bhule.
Paytm se Godaddy ka domain name kharid sakte hai kya?
ReplyDelete@ Prakash
DeleteHa buy kar sakate hai.
Nahi to bank account transfer me Bhi paisa nahi kat hota....thank you PayTM
ReplyDelete@ Krishan,
DeleteAbhi paytm ne kuch updates kiye hai jisme 500,1000 ke note band hone ke karana paytm ne bank transfer par 0% charge lagaya hai.
kya paytm se kisi bhi university,college or school ki fees pay kr skte hai.???
ReplyDelete@ Siraj,
DeleteAbhi to yesi koi service start nahi hai hum college, school ki fess nahi pay kar sakate, lekin paytm jald hi ispar bhi koi upay nikal lega.
Sir maine IFSC codegakt ho gya h to mere peisa nhi pahucha h aut belence bhi cut gya h ab dubara peisa kese aayega ...plz help me
ReplyDelete@Hitesh,
DeleteAgar aapke paise transfer nahi hue hai aur aapke account se cut ho gaye hai to koi bat nahi kuch time me wo aapke paytm account me phir se aa jayenge.
Agar phir bhi nahi aate hai to aap paytm customer 01203062244 se call kijiye unko puri details de dijiye jiase transaction id etc. wo aapki problem solve kar denge.
bhai muje jis frnd ko pay tm se paise dene hai toh uska register mobile number dalna hoga ya phir koi duar dalunga to bhi chalega
ReplyDelete@Harsh,
DeletePaytm se jo register hai wahi dalana hota hai.
Paytm se bank me paise transfer krne pr kitna charge lgta h.....??
ReplyDelete@ Abhishek Rao,
DeletePaytm se Bank me transfer karane ke liye 0% charge lagega. aur Non-KYC user ke liye 1% charge lagega.
Non kyc ka Matlab
ReplyDelete@ Shahnawaj,
DeleteNon KYC matlab jin logo ne identity proof and other details nahi provide ki hai wo log.
Maine kai paytm account aise dekhe hai jinse bank me paise transfer karne pe koi fees nhi lagti hai Aisa Kyo...???
ReplyDelete@Nahi abhi bank transfer free nahi hai, uska charge lagata hai.
DeleteKya koi aisa tarika h paytm me jisse bank me paise transfer Karne par koi extra charges na lage
ReplyDelete@Anuj,
DeleteAbhi koi tarika nahi hai charge legega.
agar registered Mobile number gum ho gya hai to dusra mobile number kaise registered kare. aur dusre account me Bina OTP ka paisa kaise transfer kare
ReplyDelete@Raghvendra,
DeleteSabse pahale aapko paytm customer care ko call karana hoga aur purane number gum ho gaya hai ye batana padega. Agar usme aapke paise hai to bhi mil jayenge aur sath hi new account banane ki procedure bhi wo samjha denge.
Paytm wallet se transfer kiya tha lekin abhi tak uske wallet me nahi aaye
ReplyDelete@Amit,
Delete24 Hours tak wait kare nahi to paytm care ko call kare.
Agar mera paytm number kho gaya toh koi bhi use kar sakta hai kya
ReplyDelete@Djshubham,
DeleteNahi use nahi kar sakata kyon ki usko password ki jarurat hogi. Lekin aap Paytm customer care ko call karke account block karawa lo.
Bro ek din me hum paytm to paytm kitne martaba paise bhej sakte hai
ReplyDelete@Salman,
DeletePaytm to Paytm Limit nahi hai.
Paytm Se paise transfer karne Se dushre ke account me paisa ad nahi hua hai Sir plz batao
ReplyDelete@Ashok Ji,
DeleteSamane wale vakti ko puchiye ki paise mile ya nahi? agar nahi mile hai aur aapke account se cut ho gaye hai, to paytm customer care se bat kariye.