Facebook par new Id, Account Kaise Banaye. Hello, Dosto
aaj hum janenge ki facebook pe account kaise banaya jata hai.
Facebook duniya
ki sabse badi social networking site hai. Aaj ek bhi insaan yesa nahi milega ki
uska facebook account nahi hai. Par yese bhi kuch log hai jinka aaj bhi
facebook pe aacount nahi hai ye post khas un logo ke liye hai.
Facebook
Kya Hai?
Facebook ye ek
social networking site hi jiski madad se hum apne purane dosto ke sath jud
sakate hai. Facebook ke jariye hum apne relative, apne jo dost India se bahar
hai unke sath bhi baate kar sakate hai.
Business Ke
Liye Use:
Facebook bilkul
free hai aur iski madad se hum apna business ka promotion bhi kar sakate hai.
Iske liye aapko khud ka facebook page create karana padega aur usse promote
karana hoga.
Entertainment:
Facebook ki
sabse badi khasiyat ye hai ki ye sabse bada entertainment ka sadan hai.
Share Images,
Messages:
Agar aap apne friend’s
ke sath images, message share karana chahate hai to share kar sakate hai.
Facebook Account Kaise Banaye?
Ab humane
facebook kya hai ye to jan liya ab janate hai ki ispe account kaise banaye.
Account banane me sirf 5 minutes lagenge. Iske liye aapke pass mobile number ya
phir email id honn jaruri hai.
Step 1:
Facebook.com ki
site pe chale jaye.
Step 2:
Ab aapke samane
ek form hoga jisme aapko apni puri details fill karani hai. Maine image me jo
number diye hai usme niche di gayi information bharani hai.
1. Isme apna first
name dale
2. Isme apna
last name dale.
3. Yaha pe apna
mobile number ya phir email id dale. In me se koi bhi 1 dale.
4. Phir se
mobile number ya email id dale.
5. New password
me apna khud ka password dale. Password me khuch number, alphabets, aur special
symbols dale.
e.g. HindiMeEarn@123
6. Apni Date of
birth dale. E.g. 15/10/1990
7. Male ya
female in me se ek select kare.
Ye sari
information bharane ke bad Create An Account pe click karde.
Agar aapne
email dala hai to aapko usse verify karana padega. Email account ko open kare
usme facebook ki taraf se ek mail aaya hoga usme ek link hogi uslink ko open
karde aapka email confirm ho jayega.
Aapka facebook
account taiyaar ho gaya hai lekin abhi isme apni aur bhi information fill
karani padegi.
Iske liye aap
apne Facebook ki profile me chale jaye aur waha pe apni school details, college
details, aap ki manpasand bhasha, aapko kin kin chizo me interest hai, aap ko
kon si films, pasand hai ye sab fill karde.
Phir apne jo friends
hai unko ek ek karke friends request send karde. Jab aapka friend aapko request
accept kar lega, tab aap uske sath messages, photo share kar sakate hai.
Agar aapko
facebook se related koi bhi dikkat ho to aap comment ke jariye jarur bataye.
Mai usko solve karane ki puri koshish karunga. Aur humare latest updates ke
liye humara facebook page
jarur like kare.
0 Comments: