C Programming For Beginner, C Language kya hai, C Language ka introduction hindi me, history of C, ye sab baate hum is post me janenge. C language kisane invent ki ye bhi aapko is post me read karane ko milaga.
Dosto jin logo
ko programming language sikhana hai unke liye ye ek accha awasar hai kyon ki
kayi log hai jine programming language sikhana hai par English week hone ke
karan wo jara hichakate hai. To unke liye maine hindi me programming language ka
tutorial start kiya hai aapko yaha pe sabhi basic sikhane ko milega.
History
Of C:
C programming
language hai jiska invention Dennis Ritchie ne AT & T Bell Labs me USA
me kiya tha. C Language inti purani hai phir bhi aaj ye bahut popular hai.
C language
banane ke liye kafi sari languages ka bhi use kiya gaya jaise BPCL, B.
BPCL, B yesi
kuch languages pahale se hi maujud thi par inme kuch limitation the. Lekin C
language me kafi tarah ke data types hai.
Importance
Of C:
C language ka
kya importance hai.
1. C language ka
use operating system develope karane ke liye hota hai.
e.g. Unix,
Linux aur Windows etc.
2. C
programming language kea ur bhi kuch fayade hai, jine banane ke liye C ka use
hota hai.
Jaise Text
editors, Compilers, Data bases etc.
3. C language
ka use Game create karane ke liye hota hai.
4. System
software as well as application software dono bana sakate hai.
Charactertics
of C:
C programming
isliye aaj bhi itni popular hi kyon ki
1. Ye easy aur
simple hai sikhane ke liye
2. Structured language
hai.
3. Iske program
kisi bhi platform par easily execute kar sakate hai. Chahe wo windows ho, Linux
ya Unix ho.
C Program:
C language ek
structured programming language hai jiska code 4-5 lines se lekar 1000 lines
tak ka ho sakata hai. Program ki coding aap kis prakar ka software bana rahe
hai uspe depend hai.
C Compiler:
Hume C programming
sikhane ke liye compiler ki jaruarat hoti hai. Jo ek software hota hai.
Compiler ka kam
ye hota hai ki wo high level language ko machine language me
convert karata hai. Hum jab program likhate hai usse sirf hum read kar sakate
hai lekin computer usse samaj nahi sakata compiler ka yahi kam hota hai ki is
code ko convert karake machine level language me karata hai.
C program ka extension
‘.c’ hota hai.
Internet par
free compiler milenge jiski madad se hum C program ko execute kar sakate hai.
Mai apni aane
wali post me aapko bataunga ki kaise hum c compiler ko windows 7 par install
kar sakate hai.
Structure
of C Programming:
C program wirte
karane ke liye ek structure ko follow karana padata hai. C program ka structure
kuch niche ki tarah hota hai.
1. Documentation section
2. Link section
3. Definition section
4. Global declaration section
5. Main function section
6. Subprogram section
1.
Documentation section: Isko optinally use kiya jata hai iska
hona na hona kuch farak nahi padata hai. Isme aap program ka naam, author ka
naam aur other details isme likhane hote hai.
e.g. /*
program for addition */
2. Link Section: Isme header files hoti hai jo compiler to library files se connect
karata hai.
e.g.
# include <stdio.h>
#include
<conio.h>
3. Definition
Section:
Isme sabhi
constant declare karane hote hai.
e.g. # define
pi 3.14
4. Global declaration:
Agar aapko koi variable
ek se jayada function me use karane hai to aap usko globally declare kar sakate
hai.
5. Main
Function:
Aapka jo main program hota hai wo yaha pe hota
hai. isme different variable declaration aate hai. sabhi program ka code aata
hai.
6. Sub program
Section:
Isme all user defined
function hote hai to main function me call kiye jate hai.
Ye simple C
program ka structure hai jab aap koi program execute karoge to apne aap aapke
samaj me ye aa jayega.
Aasha karata hu
ki aapko ye post acchi lagi hogi agar aapko iske related koi problem ho to
comment me jarur bataye.
sir loop k bare me kuch batao ge
ReplyDelete@Zabi,
DeleteLoop, Array, Conditional Statement Iske bare me post jald hi update kar denge.