Job, Business Ke Liye Email Kaise Likhe

Is post me hum janenge ki job application ke liye, ya phir business ke liye email kaise likhate hai. Jab aap job ke liye apply karate hai to aapko email ke sath, resume attach karke send karana padata hai.


Job Business Ke liye Email Kaise Likhe


Bahut se new log isme confuse ho jate hai ki ab hum email kaise likhe, email me kya kya include karana chahiye, iske under koun sa matter likhana chahiye ye sab is post me aapko sikhane ko milega. Kyon ki job ya business ke liye hume professional email wirte karana padata hai nahi to aapka bad impression pad jata hai.


Email Ke Under Kya Kya Hona Jaruri Hai?

Hum sabase pahale ye jan lete hai ki ek professional email wirte karate waqt us email me kya kya hona jaruri hai.

Subject:
Is me aapko subject likhana padata hai, kayi log subject likhate hai nahi aur email kar dete ye ek kharab aadat hai, kyon ki agar hum job ke liye aaply kar rahe hai aur aapne subject me wo nahi likha to phir aap reject ho jawoge kyon ke company me job ke liye hajaro mail aate hai unme agar subject nahi likha ho to wo spam mail samajakar use delete kar denge.
Isliye kisi bhi email me subject bahut hi important hota hai, subject likhate samay short aur clear likhe. Subject jayad lamaba na ho, read karane wale ko subject se hi pata chalana chahiye ki email ke under kya likha hai.
Subject agar bahut lamaba hoga tab bhi aapka email open karake nahi dekha jayega, isliye subject chote se chota rakhe. Usme faltu word use na kare.



Professional subject kaise likhe:
1. Application for Job (Job Title)
2. Application for Operator with 2 Year Experience
3. Application for Sales Manager – Your Name
4. Application for C.A – Your Name
5. Resignation – Your Name

Agar aap kisi se help chahate hai to uske liye niche diye gaye subject use kare.
1. Need A Help – Your Name
2. Help Regarding To My New Website

Agar aap kisi se koi shikayat ya phir kisi subject par baat karana chahate to subject me usse mention kare.
e.g Payment Not Received




Message:
Ab niche shuru hota hai actual message ab message mai kya kya add karana hai ye dekhate hai.
Isme pahali step hoti hai.

Salutation:
Salutation yane jaise hum letter likhate samay starting me Namaste likhate hai waise hi email me salutation use karana padata hai.
Agar aap job ya business ke liye email send kar rahe hai to phir ye salutation use kare.
e.g
1. Dear Hiring Manager
2. Dear Sir/Madam
3. Dear Chavan (Last Name Agar aapko pata ho ki aap email kis ko bhej rahe ho)
Agar aap apne dost ko ya family member ke email send kar rahe ho to aap hi, hello, respected uncle, kuch is tarah use kar sakate hai.




Actual Message:
Ab aata hai niche actual message usme aapko 3 steps me message likhana hai starting paragraph, middle paragraph, aur last paragraph etc.

First Paragraph:
Isme aapko start me kuch yesa likhana hai “with reference to mentioned subject” agar aap kahi se advertisement read karke apply kar rahe to yaha mention kare.

Middle Paragraph:
Yaha par puri details ke sath thoda description de. Ki aapko agar kahi pe experience hai to yaha mention kare.




Final Paragraph:
Ab last me aapko yaha pe thanks kahana hota hai. Yaha pe kuch yesa likhana hai,
e.g. 1.Thanking You,
      Your Sincerely
      Your Name
Ya phir
e.g. 2. Regards,
       Your Name
e.g. 3. Sincerely
       Your Name
To is tarah ek professional email likha jata hai, maine niche ek format banake diya hai for e.g. hum kahi pe job ke liye aaply karana chahate hai to aap email kaise likhe.

Email Format



To is tarah aap ek professional email likh sakate hai. Agar aapko iske bare me kuch problem ho to niche comment me jarur bataye.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

15 comments:

  1. Sir mujhe ek problem hai plsss solve kar do email likha hon na main jab to description likhna main problem aati hai to plsss sir mari help karo description likhna main example for job application for resume description main kya dalon

    ReplyDelete
    Replies
    1. @ Sahil,
      Upar aapko step by step bataya gaya hai ki kya kya likhana hai, agar aap job ke liye email likh rahe hai to upar aapko ek example bhi diya hai umse sirf aapko apni details add karni hai.

      Delete
  2. Sir agr muje job chodni h or us job par Gaye huye muje 5 din hue ho toh me kya likh kr mail kru

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Deepus singh,
      Subject: Application for leave a job

      Niche matter me 4-5 line me bataye ki aap job ki aap 5 din job par kyon nahi aaye. Aur job kyon chodana chahate hai.

      Delete
  3. Sir mujhe ak job apply karna hi subject me kya likhna sahi rahega

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Application for job uske aage Job title likh sakate hai.

      Delete
  4. sir maine chemical company se chemical liya tha uska demo de ne ke liye mail krna hai.
    subject or description me kya likh skte hai ki vo site par aa kar demo de ske.

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Tushal,
      Subject : Requesting a product demo.
      Message : me aapko aapki sites ke bare me aur kaha par demo chahiye iske bare me likhana hoga.

      Delete
    2. subject :requesting a concrete repair and anchoring of bars product demo.

      Delete
    3. @Tushal,
      Aap comment me pura message kyon daal rahe hai, yaha par sirf email kaise likhate hai ye bataya gaya hai. Aapko jise mail bhejana hai unko aap mail send karo.

      Delete
  5. SIR MUJHE TEXMA OPRETOR REQUREMENT KE LIYE GIMAL PAR MAIL KARNA HA,M US KA LIYE SUBJECT M KYA LIKHU

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Gourav,
      Subject: "Texma Operator requirement"

      Delete
  6. Sir business provid krne le liye Mail kese ready kre

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Upar bataya hai usi prakar likhana hai.

      Delete
  7. Thnk u for giving me best idea

    ReplyDelete