ज़िप फाइल कैसे बनाए? ज़िप फाइल (Zip File) और Rar File बनाई जाती है ? File Ko Unzip Ya Extract Kaise Kare





ज़िप फाइल कैसे बनाए? ज़िप फाइल (Zip File) और Rar File बनाई जाती है ? Aaj internet par aap jo koi bhi software, file download karate hai wo jadatar zip, rar format me hoti hai, to usse kaise kholate hai, zip file kya hoti?, blogger template bhi zip format me hoti hai use xml me kaise convert kare ye sawal aapke man me aate hai to aaj is post me hum zip file banana aur use kholana sikhenge.

Zip File Ko Kaise Open Kare

Maine upar bataye ki jayadatar file zip format me hoti hai yesa kyon hota hai isse samajane ke liye zip file kya hoti hai isse samajana bahut jaruri hai?

Zip Ya Compressed File Kya Hoti Hai?

Zip ya rar ye file ko format hai. Jisse humari jo bhi original file hai uski size kam hokar wo ek  dusare format me convert ho jati hai. File ko zip ya compress karane se file ki size kum ho jati hai use internet par send karana aasan ho jata hai.


Compressed File ke kuch format
Zip, rar, rar 5 etc.

Jab bhi hume kisi badi file ko internet par send karana hota hai, ya hume kisi ko email karana hota hai aur usme files ko attach karke send karana hota hai tab hume us file ko zip karana padata hai.
File ko compressed karane ke liye humare computer me win rar ya 7 zip inme se koi to ek software install hona chahiye. Agar aapke computer me ye software nahi hai to google pe search karke in me se koi bhi ek software computer me install kar le.





File Ko Zip Kaise Kare?

Man lijiye ke aapko apne dost ko kuch document send karane hai to aapko un documents ko zip karana hoga iske liye aapko niche di gayi step follow karani hai.

Method 1:
Step 1:
Apne sabhi document ko ek folder me copy karle.
e.g My Document

Step 2:
Us folder par right click kare.

Step 3:
Add to archive... is par click kare.


Add to archive pe click kare


Step 4:
Agar aap apne file ko password dena chahate hai to set password par click kare aur password dalkar ok kare.
Agar password nahi dalna chahate to direct ok kare. Aapki file zip ho jayegi.

Ok Pe Click Kare


Method 2:
Step 1:
Folder par right click kare.

Step 2:
Send to option par click karde aapke samane dusare option aayenge unme se compressed (zipped folder) par click kar de. Aapki file zip ho jayegi.

Send To Option Pe Click Kare


File ko compress (zip) karane ke fayade:
1. File ki size kum ho jati hai.
2. Internet par file send karane me aasani hoti hai.
3. File copy fastly ho jati hai.





Zip File Ko Kaise Open Kare (Unzip/Extract Kaise Kare)

Ye to humane sikh liya file ko compress karana par agar internet se aapne kisi file ko download kiya hai aur wo zip format me hai to us file ko kaise convert kare.

Step 1:
Jis folder ko open karana hai us par right click karde.

Step 2:
Extract files par click kare.

Extract Files Pe Click Kare


Step 3:
Fir aapke samane ek dusari window open hogi jisme se ye pucha jayega ki file ko kis location par extract karana hai. Aap jis drive, me extract karana chahte hai usse select karke ok kar de. File extract ho jayegi.


Folder Select Karke Ok Pe click Kare


Is tarah aap kisi bhi file ko unzip kar sakate hai.

Android Mobile Me File Ko Unzip Kaise Kare?

Agar aap android mobile use karate hai aur kisi file ko android mobile me unzip karana hai to uske liye bhi internet pe software available hai.
1. Sabse pahale aap google play store par chale jaye aur waha pe win rar ya RAR search kare.

2. Software ko download kar le.

3. Software install karle. Ab aapko jo folder ya file unzip karni hai usspe click karke thoda ruk jaye.



4. Uspar click karte hi aapke samane kuch options honge unme se extract here pe click karde.

5. Ab aapko kis folder me file extract karani hai ye pucha jayega folder select karke ok karde.

Is tarh aap android mobile me bhi zip file ko extract, open kar sakate hai.
Blogger template zip file me hoti hai aur use extract karate hai usme ek xml ki file hoti hai wo aapko dik jayegi.
Post se related koi sawal ho ya kisi step me dikkat aa rahi hai to aap comment me jarur puch sakate hai.

Aapke pass bhi internet se related koi post hai aur wo aap humare sath share karana chahate hai to guest post ke jariye share kar sakate hai. 
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

0 Comments: