Jab bhi hum kahi job ke liye jate hai tab waha pe hume interview dena padata hai. To is interview ko kaise crack kare uske liye kya kya preparation karana padata hai yahi isi post me hum janenge.
Aaj kal hum
jaha par bhi job ke liye jate hai waha pe hume interview ko face karana padata
hai agar hum interview acchi tarah se denge to aapko wo job easily mil jayega.
Par agar interview accha na diya to aapko job nahi milega. To interview ki
taiyaari kaise kare uske kuch tips bataye hai unko follow kare.
Job Interview Ke Liye Tips:
1. Resume/ CV Tik
Tarah Se Banaye:
Sabase
important baat ki aapko ek accha sa resume (C.V.) banana padega.
Resume kya hota
hai, jab bhi hum job ke liye kahi pe application karate hai tab uske sath apna
resume send karana padata hai. isme aapki sari details hoti hai jaise
educational details, basic details etc.
Aapka jab
interview liya jata hai tab sabase jayada question aapke resume ko dekharkar hi
puche jate hai. Isliye resume banate samay subkuch such likhe.
Maine ek resume
sample banake dikhaya hai aur ye bhi bataya hai ki kaise professional resume
banaya jata hai aap yaha se read kar sakate hai.
2. Dressing:
Jo new log hote
hai unke iske bare me jayadatar pata nahi hota, lekin dressing karana bhi sabse
jaruri hota hai, kyon ki 50% impression aapke dressing par hi nirbhar hota hai.
Job interview ke liye jate waqt press kiya hua dress hi use kare. Uspar shirting
fit aur clean honi chahiye. Aur sath me agar mumkin ho to shooes ka use kare.
3. Collect
Information about Company:
Aap jis bhi
company me interview ke liye ja rahe hai us company ke bare me jarur jan le.
Company ki history, founder, branches ke bare me jarur pata kare. Aur present
me us company ke market me kya value hai iska pata kare.
Jo interview conduct
karane wale manager ya team hai unke bare me bhi jan le. Company ki website ko
visit de aur information collect kare.
4. Present On
The Time:
Jaha bhi aapko
interview ke liye jana hai waha pe aapko time se pahale pauchana chahiye. Kyon
agar aap interview ke liye 5 minute bhi ter kar denge to aapki job haat se
nikal jayegi. Interview ke 30 minutes pahale hi waha pe pauchkar us jagah ko
observe kare.
5. Prepare For
common Interview question & FAQ’S
Jab bhi aap
interview ke liye jaye uske pahale aapko in question ki practice karana jaruri
hai. Jayadatar questions same hote hai jine (common interview) question hote
hai, wo har interview me aapse puche jate hai, aur kuch recently asked question
hote hai (Frequently Asked Qustions).
Common
Interview Question (FAQ):
A. Tell me
about yourself:
Ye most commonly
question hai aap jaha par bhi jayo aapke ye question 90% pucha jayega. Isme
aapko apne bare me short me batana padata hai.
B. Why Should
We Hire You?
Iska matalab ye
hota hai ki wo aapse ya janana chahate hai ki aapko kis wajah se job de.
Aapko iske
answer me aapka previous experience ke bare me batana padega. Aap iss company
ke liye kis tarah kam karege aur company ka money, time kaise save karenge. Company
ko aage badane ke liye aapke pass kuch ideas ho to wo bhi bata sakate hai.
C. What is your
goals?
Aap apni life
me kya karana chahate hai, aage jakar kya banana chahate hai ye aapko short me
batana padega.
D. Tell Me
About Your Previous Experience?
Agar aapke pass
kisi aur company ka experience hai to wo bhi aapke batana padega. Aur agar aap
fresher hai to aapko ye question nahi pucha jayega. Kyon ki resume me humne
pahale hi wo mention kiya hota hai.
E. Why should
you leave your current job?
Ye sabse
muskhil question hota hai, agar aap currently kahi par work krate the to aapse
ye question jarur pucha jayega ki aapne apna pahala job qyon chod diya. Iss question
ka answer aapko bahut soch samaje ke dena padega.
6. Be
Confident:
Kisi bhi kam ko
pura karana ho to confidence hona jaruri hai. Agar aapme confidenece nahi hai
to aap kisi bhi interview ko crack nahi kar sakate hai.
Confidence is key
of success. Yesa kaha jata hai isliye interview dete samay confident rahe. Jo
interview le rahe hai unki aakho me aakhe dalkar question ka answer de.
Agar aapko kisi
question ka answer nahi aata hai to pahale hi bata de uska galat answer na de.
8. Avoid Bad
Habits:
Aapki ji galat
aadate hoti hai usko kabu me rakhe.
1. Cell Phone
ko switch off kare.
2. Interview ko
jate samay somking na kare.
3. Apne sath me
pen aur kuch blanks paper bhi sath me rakhe.
4. Face to face
bat karane ki koshih kare.
5. Loudly bole
yane aapko awaj samane wale tak pahuche.
6. Jo bhi
kahana hai wo clear kahe. Ghumak phirakar baat na kare.
9. Use Body
Language:
Body language
bhi ek kala hai. Jab bhi aap kisi concept ko explain kar rahe hai tab body
language ka prayog kare. Kyon ki isse samane wale par accha impression padata
hai.
10. Say Thanks:
Jab aapka
interview khatam ho jaye tab interview le rahe logo ko thanks kahana na bhule.
Agar aap in
tips ko follow karenge to koi bhi interview crack kar sakate hai.
Kisi bhi
interview ko face karane ke liye self-confidence hona bahut jaruri hota hai,
agar aapke pass self-confidence hai to aapk kisi bhi interview ko face kar
sakate hai.
Aapko ye post
kaise lagi comment me jarur bataye. Aur apne friend’s ke sath jarur share kare.
thank you Sir
ReplyDeleteNYC i like it
ReplyDeleteThank you very much sir,I want to know that I want to apply for a call center job in domestic call center my English is not bad but I have good command I'm speaking skills but I am fresher and specially I don't know about basics of computer..so can I get job in call center or not...or before it should I need to take computer class etc.pls guide me..
ReplyDelete@Sanjana,
DeleteComputer ka koi basic course karengi to accha hoga. Aapko job mil jayegi.