Adobe Photoshop Tutorial In Hindi


Adobe Photoshop tutorial Hindi me (फोटोशॉप सीखे हिन्दी में). Bahut se log Photoshop sikhana chahate hai but iske video tutorial hi jayadatar internet par available hai, par aaj hum yaha pe step by step Adobe Photoshop 7 sikhane wale hai.

Adobe Photoshop Hindi Me

Adobe Photoshop Kya Hai?

Adobe ye ek company hai jisne Photoshop software banaya hai. Adobe ek behatarin company hai. Iske aur bhi product hai jaise Adobe reader etc. 


Photoshop ki help se kisi bhi image ko edit karke bahut acchi images bana sakate hai. Movies ke banner, websites logo banane me to Photoshop ka sabse jayada use hota hai.
Adobe Photoshop ki help me kisi phi image ko jaise chahe bana sakate hai.
Agar aap Photoshop par professional ban jate hai to apna khud ka business bhi kar sakate hai.
Adobe ne market me Photoshop ke bahut se version ko updates kiya hai jaise Photoshop 7, CS2, CS3, CS4, CS5, CS6, CC. Aap inme se koi bhi version use kar sakate hai. Par abhi bhi jaydatar user Photoshop 7 ka hi use karate hai. To hum bhi Adobe Photoshop 7 ka hi tutorial sikenge kyon ki ye subse jayada use hota hai aut sikhane ke liye bhi easy hai.
Aap basic bhi sikh lete hai to aapko iska kafi use hoga kyon aaj har kisi jagah par photo ki hume jarurat padata hai jaise aap kisi exam ka online form fill kar rahe to bhi waha pe aapko apna photo scan karake, di gayi size me upload karana hota hai. Ye bilkul easy things hai par hume malum nahi hoti isliye hum ye basic sikhana hai.

Adobe Photoshop 7 Download Karke Install kaise Kare?

Internet par Photoshop 7 search kare aur download karke apne pc me install kare.
Iski size kuch 160 MB ki hai. Installl karate samay aapki details aur key dalani padata hai.
Ab start menu -> All Program -> Adobe Photoshop Ke icon pe click karke Photoshop start kare.

Adobe Photoshop Me Use Hone Wale Tools:

Ab hume daily adobe Photoshop use karate samay kuch tools ki jarurat hoti hai. Ye tools hume daily use me aate hai isliye iska shortcut banakar hume show karana hota hai. To chaliye janate hai ki in tools ko Photoshop software me kaise show kare.
Photoshop 7 Start karane ke bad menu me se window option pe click kare.
Ab one by one options ko tick mark kare.
1. Tools:
2. Options:
3. Styles:
4. History:
5. Layers:

Photoshop Tools

1. Tools: Isme photoshop ke sabse important options hai aur 70% work hume in tools hi help se hi karana padata hai. Mai apne agli post me in tools ke bare me details me batane wala hu. Bus aap is tools ka photosop me short cut create kare.



2. Options:
Iska use tab hota hai jab hum kisi tool, ye option par kam kar rahe hote hai to isme usse related other optons hote hai. Jaise alag alag shpe styple, alignments etc.

3. Styles:
Ye jo tool hai wo mostly text ko alag alag styles dene ke liye hota hai. Jisko hum aage jake sikhane wale hai. Hum Photoshop me extra styles internet download karke install kar sakate hai. Is option me aapko alag alag color ka bhi use karane ko milega.

4. History:
Iske name se pata chal jata hai ki is options ka use kya hai. Hum image pe jo kuch bhi kam karate hai uski history aapko yaha dikhayi deti hai agar humse kuch galati ho jaye hume original image chahiye ya phir 1-2 step piche jana hai to is option ki help se hum wo kar sakate hai.


5. Layers:
Agar aapko Photoshop me professional work karana hai to aapko layers ke bare me sub details aur work sikhana padata hai kyon ki jab hum kisi image par kam karate hai to wo kam layers banakar kiya jata hai. Layers ko aapus me mix kiya jata hai. Hum jo movies ke banner dekate hai wo isi tarah banaye jate hai.
Ye to ho gaya Photoshop install kaise karate hai aur uske jo kuch basic options hai jinka hume jayatar use karana padata hai uske bare me details ab hum agli post me tools bar hai uske bare me details se janenge.

Aapko ye information kaisi lagi comment me jarur bataye.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

8 comments:

  1. Sir photoshop me ek problem aa gayi hai.Photoshop me photo ko laate hai to usme horizontal aur vertical line aa raha hai. Hat hi nahi raha. Please o line kaise hataye sir bataye,

    ReplyDelete
    Replies
    1. @ Kalishankar
      View tab me jakar -> Clear guides par click karo

      Delete
  2. Sir mai photoshop 7.0 kaise dowload kare please download karne ka link send kardijyena please.

    ReplyDelete
    Replies
    1. @ Mdgulzar,

      Aap google par search karo aapko mil jayega.

      Delete
  3. Dear sir,
    Sir kya aap mujhe Photoshop 7.0 ka full notes ka PDF provide Kar saqte had
    Please sir it's urgent

    ReplyDelete
    Replies
    1. @ Sumit,
      Aap youtube par search karo aapko pura Adobe photoshop 7 tutorial mil jayega.

      Delete
  4. dear sir
    adobe photoshop7.0 chalane ke notes pdf mil jayenge

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Jitu,
      Aap humare facebook page par contact kariye.

      Delete