C programming me variable kya hota hai (Variable इन C प्रोग्रामिंग) isse kaise declare kiya jata hai. C programming me variable declaration ka bahut hi importance hai. Iske bina hum koi bhi program write nahi kar sakate. Ye ek basic term hai isliye ye concept ko aapko understand karana hoga.
Variable Kya Hai?
Definition: "Variable is nothing but a
reserved memory block which is used to store different types of values and
which value can change in execution of the program."
Variable yane reserved
memory block hota hai jo kisi value ko store karane ke liye use ki jati hai.
Simple bhasha me kaha jaye to variable yane Name hota hai.
Syntax For
Variable Declaration:
Varible kaise declare
kiye jate hai uska basic syntax hai.
Data Type Variable
Name
Kisi bhi variable
ko declare karane se pahale hume uska data type batana padata hai.
Example:
Int a,
Float price,
Is 2 example me
int, float data types hai to wahi pe a, price ye variable ka name hai.
Variable Declare Karane Ke Rule:
C programming
me variable declare karane ke liye kuch rule banaye gaye hai. Variable declare
karate samay hume in rule ko follow karana padata hai.
1. Variable
name not start with digit.
Variable name declare
karate samay wo number se start nahi kar sakate.
2. Blank space
now allowed.
Variable name
me blank space allowed nahi hai.
3. White spaces
now allowed.
Variable name
me white spaces allowed nahi hai.
4. Variable
name not be Keyword.
Variable ka jo
name hai wo keyword nahi hona chahiye.
5. It is case
sensitive
Variable ka jo
name hai wo case sensitive hai.
E.g.
Int PRICE,
Int price
ye 2 alag alag
variable hai.
Variable Ke Types
Variable ke 2 type’s
hai.
1. Local Variable:
2. Global
Variable:
1.
Local Variable:
Local yane hum
jis block me declare karate hai wahi iska use kar sakate hai. Agar humane isko
kisi function me declare kiya to wo sirf usi function me use kar sakate hai.
Local variable ko
hum value assign karani padati hai system ise default value assign nahi karati.
2.
Global Variable:
Global yane hum
is variable ko overall program me kahi bhi use kar sakate hai. Global variable ko
default value system initialize karati hai.
Agar aap kisi variable
global declare karate hai to aap usse kisi bhi function me kitane bhi times use
kar sakate hai.
Variable Ko Program Me Kaise Use Karate Hai:
/* Program for
understanding variable */
#include
<stdio.h>
#include<conio.h>
Void main()
{
Int a=10, b=20,add;
Add=a+b;
Printf(“/n
addition =%d, add)
Getch();
}
Upar diye gaye
program me humane variable a, b, aur add inka use kiya hai jiska data type integer
hai.
Example
of Variable:
Int a;
Float salary;
Char c, ch;
To is tarah hum
koi bhi variable simple tarike se declare kar sakate hai. Agar aapko kuch
problem ho to aap comment ke jariye humare sath share kar sakate hai.
Humare latest
updates ke liye facebook page
ko jarur like kare.
0 Comments: