SBI bank Ka Agar ATM card kho jaye, ya chori ho jaye to hum isko kaise block kar sakate hai. Aaj hum is post me ye janenege.
Aaj sabhi ke
pass ATM card available hai. Jiski help se hum kahi bhi money withdraw kar
sakate hai. Sath me aur bhi kayi sare transaction bhi kar sakate hai. Lekin
agar humara ATM card, kho jaye, ya koi chori kar le to hume kya karana chahiye.
Kyon ki agar ye kisi galat hato me pad gaya to iska missuse ho sakata hai.
Sabse pahlae
hume wo khoya hua ATM card block karana padata hai. Aur baad me hum naye card
ke liye apply kar sakate hai.
SBI ka ATM card
kho jaye to hum isse kis prakar block kiya jata hai, ye mai aapko bataunga. Hum
ise online, offline dono tariko se block kar sakate hai.
ATM Block Karane Ke Ways:
Way 1. Online (Internet Banking User Ke Liye):
Agar aapke pass
internet banking active hai to aap online ATM card block kar sakate hai.
Chaho to Aap
Internet Banking 5 Minute Me Start Kar Sakate Hai Online Internet Banking Kaise Start Kare
1. Card block
karane ke liye sabse pahale sbi ki site pe chale jaye aur apne account me login
karle.
2. E-Services
Pe click kare.
3. Left side me
niche ATM Card Services Pe Click Kare
4. Block ATM
Card pe click kar de. Niche Image Me dekhe:
5. Ab aapko
apna account number select karana hai jiska hume ATM block karana hai. Account
Select karane ke bad continue pe click kare.
6. Aapko pucha
jayega ki ATM card kyon block karana chahate hai
Select reason
Lost/Stolen aur submit pe click kare.
Ab aapka ATM
card block ho gaya hai ab us card se koi bhi transaction nahi kar sakata.
Way 2: Offline SMS Se
Ab sabhi ke
pass internet banking activate nahi hoti hai, agar aapke pass bhi internet
banking shuru nahi to aap is parkar ATM Card block kar sakate hai.
Aapko apne
registered mobile number se SMS Send karana hai.
Type Kare: BLOCK XXXX (ATM Card Ke Last 4 Digit) Send Kare:
567676
Example: BLOCK
1247 to 567676
Note:
Agar aapko ATM card ke last ke 4 digit malum nahi hai to aap ne
pahale agar koi mini statement nikala hua hoga to uspe hote hai ya phir bank me
jakar pata kare.
Way 3: Customer Care Ko Call Kare Ya Email:
Agar customer
care ko call karke ya email kar ke bhi apan ATM Card block kar sakate hai uske
liye aap toll free number par call kare.
Toll Free Numbers:
1800112211 / 18004253800
Email Address: contactcentre@sbi.co.in
Aur bataye ki
aapka ATM card, kho gaya hai wo aapko apne account details puchnege jaise Name,
Account Number, Branch etc. unko sahi Jankari de aap card block ho jayega.
To is parkar
hum kisi bhi ek way se apna ATM/ Debit Card block kar sakate hai. Subse best
way 2 number ka hai kyon ki humara card kho jane ke turant bad hum mobile se
sms send karke card block kar sakate hai. Taki uska koi missuse na kare.
0 Comments: