State Bank Of India Ne Haal hi me Cash Deposit Machine Jisko CDM machine kaha jata hai wo start ki hai.

CDM machine
same ATM machine jaise hi hoti hai, jiski help se hum ATM card se cash deposit
kar sakate hai. Iske liye hume bank branch me jane ki koi jarurat nahi hai.
CDM
Machine Ke Features:
1. Cash Deposit
By Using ATM Card, as well as without Card
2. Minimum Deposit
Rs.100 aur Maximum Rs.49,000
3. At a time
200 Notes Deposit kar sakate hai.
4. Machine Me
Rs.100, 500, 1000 Ke Accepted Hai.
5. 24*7 Days
Service
6. Balance
enquiry, Mini Statement Bhi Nikal sakate hai.
Cash Deposit Machine Kaise Use Kare?
CDM Machine
Jaha par hai waha pe jaye.
Ab aapko Kaise
Transaction Karana hai wo chune. Yane Card Less ya card ke sath.
A. Card less Transaction:
Iski help se
hum kisi bhi SBI branch me cash deposit kar sakate hai, wo bhi bina ATM card
se.
1) Card less transaction select kare.
2) Account type select kare (jaise saving). Aapko Account Number pucha
jayega. Jiske account me cash deposit karana hai uska account number dale.
3) Beneficiary Mobile Number: Yane jiske account me hum cash deposit
karane ja rahe hai uska mobile number dale.
4) Ek baar phir se wahi mobile number, account number dal ke confirm
kar de.
5) Ab Aapke amane jiske account me cash deposit karane ja rahe hai
uski puri details hogi agar wo correct hai to yes pe click karde.
6) Ab niche ek box khul jyega jisme aapko notes dalne hai. Ab aap jitna
deposit karana hai wo paise niche box me dale aur screen confirm pe click
karde.
7) Ab CDM machine notes ko calculate karegi aap screen par details
dekh sakate hai. Agar wo tik hai to confirm karde.
8) Cash deposit ho chauka hai print out le le.
B. ATM Card Se Deposit Kare:
1) Apna ATM Card swipe kare.
2) Screen pe Account type select kare. Jaise Saving, current etc.
3) Niche Cash Deposit karane ke liye slot open ho jayega usme apne
notes dal de.
4) At a time aap 200 notes hi dal sakate hai. Aur notes 100, 500, 1000
ke hi hone chahiye.
5) Ab CDM machine notes calculate karega. Screen pe aapko wo dikhayi
dega ab screen pe confirm pe click kare.
6) Account me cash deposit ho jayega. Receipt le le.
TIP: Agar aapke notes duplicate, old, ya
kahi par fati hui hai to CDM machine wo count nahi karegi.
Advantages of CDM:
1. Ab cash
deposit ke liye bank me jane ki jarurat nahi, na hi lambi line me khada rahana
padega.
2. Card, Aur
Card less dono tarah se cash deposit kar sakate hai.
3. Quick
service hai.
Service
Charges:
Method of Deposit
Charges
|
P-segment Debit Card (Card Linked Account) NIL
|
Debit Card (Third Party Account) Rs. 22/-+ST
|
Cardless Transaction Rs. 22/-+ST
|
SME Insta Deposit Card/Business Debit Card Rs. 22/-+ST
|
Service Charge
Source: Sbi Official Site
Agar aapko CDM
machine kaha hai ye pata karana hai to aap google pe sbi CDM locator
search kare.
0 Comments: