Jab new user youtube pe channel bana lete hai tab unko ye mulum nahi hota hai kon se videos copyrighted hote hai aur kis tarah ke videos hum upload kar sakate hai.
Ye baat tab
aati hai jab hum apne youtube channel se adsense ke through paise kama rahe
hote hai. Agar aapka youtube channel monetize hai aur aap copyright video
upload karate hai to aapka adsense ban ho sakata hai. Isliye future me aapke
sath yesa na ho to aap ye jan le ki youtube pe kis tarah ke videos ko copyright
nahi mana jata.
Jab koi person
khud video banakar youtube par upload karata hai to us videos ke copyright uske
ho jate hai. Videos ka jo creator, owner hota hai uski ke liye sare copyright
reserve ho jate hai. Koi dusara ye video upload nahi kar sakata, agar koi
dusara wo video upload karata hai to wo copyright mana jayega aur youtube uska account
ban kar dega.
Kis Tarah Ke Videos Ko Copyright Mana Jata Hai:
1. Audiovisual
work:
Audio aur video
yane aap kisi TV serial, Program, Movie ki recording karake usse upload nahi
kar sakate. Aur to aur aap kisi dusare ke videos ko bhi record karke upload
nahi kar sakate.
2. Video Games
& Software’s:
Aap kisi video
game, ya kisi software ko reocord karke upload nahi kar sakate.
3. Sound Recording
& Musical Composition:
Aap kisi singer
ka audio, ya kisi ka music record karake upload nahi kar sakate.
4. Written
Work:
Aap kisi ka
book, article ya lecture record karake upload nahi kar sakate.
5. Visual Work:
Kisi ki
painting, poster, kisi website ki advertisement upload nahi kar sakate.
6. Dramatic
Work:
Hum kisi khel
ki recording nahi kar sakate.
7. Privacy:
Agar aap apne
dosto ke sath kuch videos shoot karate hai aur usse friends ki permission liye
bina upload karate hai, agar us friends ne youtube par complaint kar di to wo
video bhi copyright mana jayega kyon ki aap kisi ki privacy ko without
permission show nahi kar sakate.
To is tarah ke
videos ko copyright mana jata hai. Ab hum janate hai ki kis tarah ke videos hum
upload kar sakate hai.
Kis Tarah Ke Videos Upload Kar Sakate Hai:
Ab aapke man me
ye sawal aayega ki hum kis tarah ke videos youtube par upload kar sakate hai.
1. Credit
Dekar:
Agar aap kisi
ka work, property ka use apne video me karate hai to uska credit aapko dena
padega tabhi wo video copyright nahi mana jayega.
2. Purchase The
Content:
Aap kisi
Itunes, CD, DVD purchase kar ke uska copyright le sakate hai.
3. Idea, Innovation:
Aap khud ki
ideas, innovation ke create karke upload kar sakate hai. apna khud ka create
kiya gaya work copyright nahi mana jayega.
Agar aap kisi
site ke bare me tutorial bana rahe hai to us site ki link add kar sakate hai.
Youtube Video Ke Bare Me Kuch FAQ’S:
1. Kya without
audio mai video upload kar sakata hu kya?
-> Ha bilkul
kar sakate hai.
2. Agar mera
video copyright hoga to mujhe kaise pata chalega?
-> Agar
aapne video upload kiya wo copyright hoga to youtube usse remove kar dega aur
aapko uska notification bhi dikhayi dega.
3. Youtube par
videos upload karane ke liye age kitni honi chahiye?
-> Agar aap
apna account bana ke videos upload karana chahate hai to aapko age 18+ honi
chahiye.
To ab aap details
me samaj gaya honge ki youtube par kis tarah ki video upload ki ja sakate hai
aur kis tarah ke nahi.
Agar aapke man
me koi sawal ho to aap niche comment me puch sakate hai.
Hello sir mene 1youtub ID me kai tarah ke video upload kiye he wo chalenga ki nai
ReplyDelete@ Mayur,
DeleteAap ek youtube ID par kai tarah ke video upload kar sakate hai, lekin wo aapke khud ke banaye hue hone chahiye copyright kisi dusare ke video nahi chalenge.
Sir ye bataiye ki jab koi aur movie,award ya phir TV show upload karta Hai to uski video copyright nhi aur jb hum is tarah ki video upload krte hai to work copyright ho jayi kaise sir plzzz detail me bataiye
ReplyDelete@अमित,
Deleteआप कॉपीराइट को ठीक से समज ले. अगर कोई मूवी, अवार्ड, टीवी शो अपलोड करता है, उसको तब तक कोई प्रॉब्लम नहीं जब तक उस मूवी, अवार्ड, शो का ओरिजिनल ओनर कॉपीराइट क्लेम नहीं करता. अगर उसने कॉपीराइट क्लेम कार्ड दिया तो उस वक्ती का youtube चैनल तक बंद हो सकता है.
Koi mp3 song ko dounload karke hmare foto ko mix karke video bnakar apload karne par copyright to nhi hoga please help me
Deleteसर जी agar ham 1 , ya , 2 , ya 3 se lekar 5
ReplyDeleteMinat ka video upload karate hai to kya hamako koyi fayada nahi hoga
@Ramkailash,
Delete1,2 minute ke video par ads chalane ke chances bahut kam hote hai.
Sir,apne bataya tha ki CD or DVD se copyright karke upload kar saktehe
ReplyDelete@Entertainment,
DeleteAapko uske liye us CD/DVD ko buy karana hoga, uske rights lene honge.