Voter id ke liye Online apply Kaise Kare? Voter id card
ka kitana importance hai hum sub janate hai. Online Voter id card kaise banate
hai aaj mai aapko bataunga.
Kisi bhi
country me aapke khud ki pehachan batane liye kuch document banaye gaye hote
hai. Jiski help se ye pata chal jata hai ki aap us country ke rahane wale hai.
Humare India me Aadhaar card, aur Voting card, ye 2 sabse important
document hai, jiska use hume har kahi par hota hai. Maine pahale hi bataya hai ki online aadhaar card kaise download kiya jata hai.
Aaj hum is post me janenge ki online Voting card kaise banaya jata hai.
Voting Card Kaise Banate Hai?
Waise to aap
voting card 2 parkar se bana sakate hai.
1. Offline aapke area ka jo election
incharge hai uske pass form bharkar de sakate hai.
2. Online banava sakate hai.
Online Voting Card Ke Liye Documents:
Aapko kuch
document ko upload karana padata hai. Isliye hume wo document scan karake upload karane hote hai.
1. Scanned Copy
Of Passport Size Photo
Colour passport
size photo
2. Scanned Copy
Of Address Proof
Isme aap
address proof ke taur par apna ration card, light bill, electricity bill de
sakate hai.
3. Scanned Copy
Of Identity Proof
Isme aap koi
bhi yesa document de sakate hai jisse aapke identity Jahir ho example: Pan Card, Aadhaar card etc.
Online Kaise Apply Kare:
Step
1:
Sabse pahale
aap National Voter Service Portal ki site pe chale jaye.
Step
2:
Site pe aapko Apply
Online For registration of new voter pe click karna hai.
Ab aapke samane
ek form hai usme hume apni sari details fill karani hai. Form hindi me isliye
aapko easily samaj me aa jayega maine niche kuch information di hai jaha pe
aapko dikkat aa sakati hai.
Sabse upar apna
state select kare uske aage aapka parliamentary/assembly vibhag
select kare.
Step
3:
Applicant details me apni
details fill karle e.g. apna name, date of birth, religion, birth place etc.
Step
4:
Particulars of place of present ordinary Residence (Full address)
Isme aapko pura
address dena hai aur sath me mobile number aur email id bhi fill up karana hai.
Step
5:
Details of member(s) of applicant's family already included in the
current electoral roll of the Constituency
Yaha pe aapko
apne relative ke bare me information fill karani hai. Usme aapke relative ka
naam, uske sath aapka kya relation hai wo, voting card ki details etc.
Step
6:
Upload Supporting Document:
Isme maine jo
upar document bataye hai wo yaha pe upload karane hai.
Step
7:
Declaration:
Jis date ko aap
form fill kar rahe hai wo date aur place select kare Save karke Submit pe click
karde.
Form submit
karane ke bad aapke mobile aur email id pe ek code aayega jiski help se hum
aage humara application track kar sakate hai.
Voting Card Se Related Kuch FAQ’s:
1. Voting card ko
apply karane ke liye kitni age chahiye?
-> Minimum Age
18+ honi chahiye.
2. Voting Card ke
liye Kon apply kar sakata hai?
-> Koi bhi
Indian jiski age 18+ hai.
3. Galat
information fill kardi to kya hoga?
-> Agar aap
kuch fraud, galat information fill karate hai to iske liye punishment hai. Ye
ek crime hai.
4. Kya hum 1 se
jayada voting card ke liye apply kar sakate hai?
-> Nahi ek se
jayada voting card ke liye apply nahi kar sakate hai.
5. Agar form
fill karate samay kuch Galati ho gayi to sudhar sakate hai kya?
-> Yes uske
liye website pe link di gayi hai.
Agar iske alawa
aapka koi sawal hai to aap comment me jarur puch sakate hai. Form fill karate
samay agar kuch samaj nahi aa raha hai to wo bhi aap puch sakate hai.
Humari ye post
aapko kaisi lagi jarur bataye. Humare latest updates ke liye Facebook page jarur like kare.
0 Comments: