Agar aap blogging start karane ki soch me
hai, to aaj hum janate hai ki blog banane ke liye best platform koun se hai.
Dosto jab bhi hum koi new work start
karane ke bare me sochate hai to hum sabse best platform ke bare me sochate
hai.
Agar aap apna career blogging me banane ke bare me soch rahe hai to aapke liye ye post bahut jaruri hai.
Blog hum personal thing ko pure world me
share karane ke liye bhi bana sakate hai, ya phir apne business ko
internet par promote karane ke liye bhi bana sakte hai.
Blogging start karane ke liye 3 chize
jaruri hoti hai. First thing hoti hai wo hoti hai, blogging platform
then second domain Name aur third thing hoti hai wo hai hosting.
To is post me aapko best blogging
platform ke bare me janakari mil jayegi.
Free Blog:
Agar aap blogging me new hai aur aapko
blogging ke bare me abhi kuch bhi Jankari nahi hai to aapke liye blogger
ek accha platform hai. isme hume sirf domain purchase karana padata hai ,
hosting lene ki hume jarurat nahi padati wo bilkul free hai. Jo hume google
provide karata hai.
Paid Blog:
Agar aapko blogging ke bare me accha
experience hai to aap ek acchi hosting lekar, WordPress par apna blog start kar
sakate hai.
Best Blogging Platform to Start New Blog:
1. Blogger:
Blogger ye ek google ki free service hai.
Jisme hume blog banakar usme custom domain add kar sakate hai. Aur hume isme
hosting purchase karane ki koi jarurat nahi hoti hai.
Non-technical people bhi isko operate kar
sakate hai.
Search engine optimization ke liye
blogger pe bahut acchi setting di gayi hai, jo bikul free hai. Jisse humara
blog jaldi se search engine me rank karata hai.
Ispe hume free template aur paid template
upload karane ke puri permission hai.
2. WordPress:
Wordpress ye second most popular blogging
platform hai. Most of the professional blogger wordpress ka hi use
karate hai.
Kyon ki wordpress par blog ko fully customization
kar sakate hai.
Wordpress blog par Search engine
optimization ke liye bahut sare plugin (Yoast Plugin) hai, jisse wordpress blog
fastly search engine me rank karate hai.
Hum wordpress par apne hisab se theme ko
customize kar sakate hai.
Aur wordpress ko non-technical people ko
handle karana thoda mushkil hota hai.
3. Tumblr
Ye platform khas un logo ke liye hai, jo
log Videos, photos, graphics share `karana chahate hai.
Ye platform behat hi simple hai. Iske
jariye hum jyadatar gif, photo is tarah ke blog bana sakate hai. Jaise Free HD
Wallpaper ka blog etc.
4. Weebly:
Iske bare me shayad aapne suna hoga,
weebly ek badiya blogging platform hai. Jisme hume already created well
designed template milati hai aur sath me SEO ke liye bhi acchi setting provide
ki gayi hai.
Ye platform un logo ke liye hai, jo bina coding,
programming language ke blog banana chahate hai.
5. Wix
Wix ye ek naya aur accha blogging
platform hai. Isme hum bahut sare professional looking template mil jate hai,
jssie hum humara unique aur good looking blog bana sakate hai.
Ye kuch behatrain blogging platform hai,
jaha par aap apna khud ka blog setup kar skate hai.
Upar diye gaye platform me se blogger aur
wordpress sabse popular aur most useful blogging platform hai.
Agar upar diye gaye platform ke bare me
aapka koi sawal, suzaw ho to aap comment me bata sakate hai.
Thanks’ For Reading :)
0 Comments: