PM Narendra Modi ji ne Kaledan par
rok lagane ke liye behat hi aham faisala liya hai. 8 November 2016 se Rs.500
aur Rs.1000 ke notes par ban lagayi gayi hai. Raat 12 baje se ye notes kahi par
bhi swikar nahi ki jayenge.
8 November ki raat 12 baje 500 aur
1000 ke notes illegal ho jaynge. Inka istmaal hum kahi par bhi nahi kar
payenge.
Lekin 11 November ke raat 12 baje
tak ye notes government hospitals, me ye notes ka use hoga. Iska istamaal hum
hospitals me payment ke liye kar sakate hai.
8 Nov se agale 72 hours tak
railway ticket booking, government bus ticket counter par is noto ko swikara
jayega.
International airports jaha par
log dusare desh se aa rahe hai ya ja rahe hai agar unke pass puarane notes hai
to wo waha pe Rs.5000 tak naye noto ke sath exchange kar sakate hai.
Puranae Rs.500 & Rs.1000 Noto Ka Kya Kare:
Agar aapke pass purane notes hai
to ghabraye mat kyon ki hum is purane noto ko naye noto se badal sakate hai
kaise chaliye janate hai.
10 November se 30 December tak banks
aur main dakaghar (Post office) me in noto ko jama karake uske badale me rakam
le sakate hai.
Notes exchange ke liye Aadhaar
card, ya pan card sath me le jaye.
10 Nov se 24 Nov tak Rs.4000 tak
purane notes hum sakate hai ye rakam aage badayi jayegi.
Jo log is diye gaye time me bhi
notes nahi badal paye hai un logo ke liye unko ek akhir avsar bhi diya jayega.
Iske liye Reserve bank GR nikalega ki 31 March 2017 last date hogi notes ko
badalane ke liye.
9 November ko sabhi Bank aur ATM
band rahenge.
Rs.2000 & Rs.500 Ke New Notes:
Ab 1000 ke notes puri tarah se
band ho jayenge aur sath hi Rs.2000, Rs.500 Ke naye notes uske badale me unki
jagah istamaal kiye jayenge.
Rs.2000 aur Rs.500 ke naye notes
niche di gayi image me aap dekh sakate hai.
Ye Dyan Me Rakhe (Latest Updates):
10 Nov Se Hum Bank, Post office me Jake 4000 rupay tak exchange kar sakate hai. Iske liye bank me jate samay koi bhi ID card le jaye.
Bank Saturday, Sunday ko bhi open rahenge.
Bank Me hum unlimited deposit kar sakate hai, but humari income se jayda deposit nahi kar sakate hai.
ATM 10 nov ko bhi band rahenge.
Iske bare me apne sujaw aur vichar comment me jarur bataye. Iske bare me latest updates hum updates karate rahenge iske liye humari website ko visit karate rahe.
10 Nov Se Hum Bank, Post office me Jake 4000 rupay tak exchange kar sakate hai. Iske liye bank me jate samay koi bhi ID card le jaye.
Bank Saturday, Sunday ko bhi open rahenge.
Bank Me hum unlimited deposit kar sakate hai, but humari income se jayda deposit nahi kar sakate hai.
ATM 10 nov ko bhi band rahenge.
Iske bare me apne sujaw aur vichar comment me jarur bataye. Iske bare me latest updates hum updates karate rahenge iske liye humari website ko visit karate rahe.
bahut hi achhi jankari diya sir aapki template kon sa hai kya aapke template ko me use kar sakta hu
ReplyDelete@ Ajay,
DeleteYe palki 2 template hai aur ye free hai isko aap bhi use kar sakate hai.
Nice post bro.. keep good
ReplyDeleteThanks Rishikesh
Delete