Windows Crash Dump Error Kaise Solve Kare. Kabhi kabhi humara computer jisme
windows 7 install hoti hai wo bich me hi restart ho jata hai.
Yesa blue screen error ki wajah se
hota hai. Isko Stop error bhi kaha jata hai, isse humara computer automatically
restart ho jata hai, aur humara jo work hota hai wo bhi loss ho jata hai. To ye
error kyon aata hai, iska solution kya hai iske bare me ab janate hai.
Blue screen error ke piche bahut
se reason hote hai, jaise hardware problem, software, driver problem ya phir
kisi virus ki wajah se bhi yesa ho jata hai.
Ye ek critical error hota jis wajah se operating system automatically
restart ho jati hai.
Computer restart hone ke bad
system ek minidump file create karati hai, jisme error kyon aaya tha
iski information hoti hai.
Blue Screen Error Solution:
1. Latest driver install kare Ya
Update Kare:
Most of the time blue screen error
outdated driver ki wajah se occur hota hai. Isliye computer par latest drivers
install kare ya phir jo drivers hai unko update kare.
2. Problem with Hardware (RAM):
Blue screen RAM ki wajah se bhi
occur ho sakati hai. Isliye RAM ko slot se ek bar remove karake, uski dhul, ko
hatakar phir se insert kare. Dusare hardware parts properly working hai ya nahi
ye bhi check kare.
3. Scan for viruses:
Computer me antivirus software
install karana behat hi important hota hai. Antivirus software ki help se
computer me jo virus, malware hai unko remove kar de.
4. External Devices Check kare:
Kabhi kabhi pen drive, memory card
computer ko connect karane par bhi blue screen ka problem occur hota hai.
Ye phir external devices jo bhi
USB se connected hai unko ek bar jarur check kare.
5. Last option Install New
Operating System:
Agar aapko sabhi tips ko follow
karane par bhi bar bar blue screen ka problem aa raha hai to aapke pass last
option hai new operating install karane ka. Purani o.s. ko format kare aur new
o.s. install kar le.
In tips ko follow karake hum apne
computer me aane wala blue screen error ko fix kar sakate hai.
Isse related aapka koi sawal ho to
aap humase comment me puch sakate hai.
Sir mera laptop start karte hi on off jara.problem kya hai batinge sir thanks
ReplyDelete@ Abdul,
DeleteError aata hai kya kuch ya sirf on hone ke bad off ho raha hai agar yesa hai to usko format kardo aur new os install karle.
Mere system m bar bar blue screen a rha he
ReplyDeleteNew ram lga k dekh lia
Windows 7 8 10 sab format kr k bhi dekh lia
1 din se jada n chlta
@Wahid,
DeleteEk bar power cable check karo, phir bhi same problem aaye to shayad motherboard me kuch problem ho. Aap apna PC hardware technician ko dikhaye.
Sir mere laptop me wifi connect karne ke baad laptop hang ho jata hai aur baad me restart karne par blue screen aa jati hai please solutions hp windows 8.1pro
ReplyDelete@Gomaram,
ReplyDeleteAap wifi aur graphics driver ko update karo aur dekho problem solve hoti ya nahi.