Postpaid aur prepaid SIM Card me kya Difference hota hai, iske bare me janate hai.
Kayi log confuse ho jate hai, ya
unhe pata nahi hota hai ki prepaid, postpaid me kya fark hota hai.
Abhi reliance JIO SIM card ko
lekar bhi aapne kayi bar prepaid aur postpaid kar naam suna hoga to inme kya
fark hota hai details me janate hai.
Prepaid SIM Kya Hota Hai:
Prepaid: Iska
matlab iske name me hi diya gaya hai, prepaid yane pahale pay karana padega
uske bad use kar sakate hai.
1. Prepaid SIM me hume pahale recharge
karana padata hai, tabhi hum calls, internet ka istamaal kar sakate hai.
2. Jab tak humare SIM Card me
balance hai tab tak hum calls, sms, internet ka use kar sakate hai, jab humara
balance khatm ho jayega tab hum in services ka istmaal nahi kar sakate hai.
3. Prepaid SIM card ka istmaal
college students, youngster’s karate hai.
4. Aam taur par prepaid SIM wo log
use karate hai, jinko limited taur par calling, data use karana hota hai.
5. Most Important point prepaid
user ko koi bhi telecom company bill send nahi karati. Agar chahe to hum USSD
codes ke jariye data, call usage check kar sakate hai.
Postpaid SIM Card Kya
Hota Hai:
Postpaid: Iska matlab post yane
bad me paise pay karane hota hai.
1. Postpaid ka recharge nahi hota
hai, iska monthly, yearly plan hota hai.
2. Postpaid sim card me agar balance
nahi bhi ho to hum calls, sms, and data use kar sakate hai.
3. Postpaid data, call, sms kitana
use karana hai iski limit nahi hoti hai. Lekin agar hum apne plan se jayada use
karate hai to uska extra charge hume lagata hai.
4. Postpaid SIM ya Services wale
user ko uske usages ke anusar monthly bills send kiya jata hai. Jisme user ne
use kiya gaya data, call, sms inki Jankari details me di gayi hoti hai.
5. Postpaid SIM user ko bills ke
sath deadline di jati hai, agar deadline se pahale humane bill nahi fill kiya
to hume bad me extra charge dena padata hai.
6. Postpaid me Plan fix hote hai.
Key Differences between
Prepaid & Postpaid:
Prepaid
|
Postpaid
|
1.
Recharge pahale karana padega.
|
1. Recharge
ki jarurat pahale nahi hoti hai.
|
2. Special
offers, packs hote hai.
|
2. Fixed monthly, yearly plan
hota hai.
|
3. User ko
bill nahi aata hai.
|
3. User ko
monthly, yearly jis tarah ka plan hai uske anusar bill send kiya jata hai.
|
To ab aapko prepaid aur postpaid ke bich me basic kya difference hota hai, aapko pata lag gaya hoga.
Agar aapke man me koi sawal ho to
aap niche comment me humse puch sakate hai.
Postpaid me Kya benefit milata he
ReplyDelete@Jitendra,
DeleteUpar bataya hai thik se read kariye jawab mil jayega.
Kya postpad ka monthly plan prepaid se sasta hota hai, Agar special offers ko chhod de to
ReplyDelete@Somu,
DeleteHa ho sakata hai.
Mera postpaid sim h,mai pichale 6 mahine se JDDD 309 ka recharge kra ra hu ,toh kya bill aayega?
Delete@Bharat,
DeleteRecharge kiya hai to koi problem nahi.
Agar koi use nahi karenge to bill aayega?
ReplyDelete@Nitesh,
DeletePostpaid hai to bill aayega.
Sir maine ek postpaid sim ko tod kr phenk diya aur ek bhi din use nhi kiya.phir bhi 1500 rs bill aaya .Aisa q?Pls sir answer me
ReplyDelete@Suresh,
DeleteYesa hi hota ha, isliye aapko card band karawana hoga. Aap use karo na karo aapko bill aata rahega, jab tak aap card band nahi karwate.