Jio Sim No Network Problem Emergency Call Only Kaise Solve Kare

Sabhi log jio sim card khird rahe hai , but sabhi ko kuch na kuch problem aa rahi hai, kisi ko activation me time lag raha hai, to kisi ke mobile me no signal , emergency call only ka problem show ho raha hai.

Jio Sim No Network Problem kaise solve kare

To is problem ko kaise solve kare iske bare me is post me aapko details me bataya gaya hai.


Jab hum jio ka sim buy karate hai aur usko mobile me insert karate hai tab hum emergency call only show karata hai, kyon ki humara sim activate nahi hua hota hai, jio ka sim card 24 hours me activate ho raha hai. Isliye sim activation ke bad emergency call only ka problem solve ho jata hai.

No Network Signal Problem:

No network signal problem aapko tab show hoga jab aapka sim card activate ho jayega tabhi kisi kisi ko ye problem aayega.  Agar aapka card activated nahi hai to aapko sirf emergency call show hoga.
No network problem kyon aata hai some of the reason?

1. Aapka mobile 4g supported nahi hai. Aur aapka mobile 800 MHz,1800 MHz and 2300 MHz frequency bands ko support nahi karata hai.


2. Agar aapke mobile me dual sim hai to usme se sim 1 hi 4G support karata hai to jio sim ko slot 1 me hi insert karana hai.

3. Aapka sim card activate hona jaruri hai, uske bad usko 4G supported slot me dale (mostly slot 1) uske bad mobile ko restart kar le.

4. Aapko network setting me se LTE enable karana jaruri hai. Uske liye settings – mobile networks – preferred network type – LTE

No network Problem ko kaise solve kare?

1. Sabse pahale jio sim ko slot 1 me insert kare aur mobile restart kar le.


2. Agar aapke mobile me dual sim hai aur aapke mobile me sim 2 pe data on hai to usko change kare aur data ko sim 1 pe start kare.

Data ko slot 1 pe enable kare

3. Network setting me se preferred network me LTE select karana hai. Uske liye
Settings – mobile networks – preferred network type – LTE

4. Access point name jionet hona jaruri hai.
Settings – Mobile Networks – Access point – create new APN – APN me Jionet type kare aur save kare. Aur isko enable karde.

Is tips ko follow karane par aapka no network ka problem solve ho jayega.
Agar isse related aapka koi question ho to aap comment me hume puch sakate hai.

Also Read:


Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

3 comments:

  1. Meri jio ki sim h shi chal rahi thi pr do din se emergency call only show kr raha h kya kru

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Mohit Sharma,
      Upar di gayi step follow kariye, Mobile restart kariye aur phir dekhiye, na ho to JIO customer care se call kare.

      Delete
  2. Mere net slow hai fast kariye

    ReplyDelete