Aadhaar card humare identification ke liye kitna jaruri hai ye hum sab janate hai. Lekin Kayi logo ke sath yesa hua hai ki Aadhaar card banavate samay unka mobile number nahi register kiya gaya hai. To kayi logo ka purana number gum ho gaya hai, ya band ho gaya hai, to wo log apna mobile number add karana chahate hai ya phir update karana chahate hai.
To is post me hum janate hai ki
kaise hum Aadhaar card me apna mobile number add ya phir update kar sakate hai.
Aadhaar Card Me Mobile Number Kaise Add kare:
Agar aapka mobile number Aadhaar card
se link nahi hai, yane jab aapne aadhar card banavaya tab aapne mobile number
nahi diya tha ya Aadhaar card banavane wale operator ne nahi dala tha to aapko niche
di gayi procedure follow karani hai.
Step 1:
Sabse Pahale aapko Aadhaar update ka form is link se download karana hai.
Step 2:
Form ko thik se fill karake usko
aapko form me 2 address diye gaye hai, usme se kisi ek address par send kar
dena hai.
Address 1:
UIDAI
Post Box No. 10, Chhindwara,
Madhya Pradesh - 480001, India
Address2:
UIDAI
Post Box No. 99, Banjara Hills,
Hyderabad - 500034, India
Agar aap sirf mobile number aur
Email id Add karana chahate hai to aapko uske liye koi bhi document form ke
sath jodane ki jarurat nahi hai.
Form ko bhej dene ke bad 20-25 din
me aapka mobile number add ho jayega.
Also Read:
Aadhaar Card Me Mobile Number
Update kaise kare:
Ab jin logo ka mobile number already
registered hai lekin wo usko update karana chahte hai to wo log mobile number
online update kar sakate hai.
Step 1:
https://ssup.uidai.gov.in/web/guest/ssup-home
Yaha pe click kare.
Step 2:
Website par niche “submit your
update/correction request online click here” uspar click karana hai.
Step 3:
Apna Aadhaar card number dalana
hai aur niche to text diya hai uske dalkar send OTP par click kar de.
Step 4:
Aapka jo purana mobile number Aadhaar
se link hai uspar ek OTP aayega us OTP ko enter karke Login pe click kare.
Step 5:
Ab aapko Kya kya update karana hai
us filed ko select karana hai.
Name:
Gender:
DOB:
Address:
Mobile Number:
Email ID:
Isme mobile number ko tik mark
karde aur submit pe click kare.
Step 6:
Ab apna naya mobile number enter
karde. Aur submit update request par click kare.
Aapke mobile number updating ki
request successfully send kar di gaya hai. Mobile number 12-50 din me update ho
jata hai.
Note:
Agar aap online Name, Address,
DOB, Karana chahate hai to uske liye aapko kuch document upload karane hote hai
jo self-attested hone jaruri hai. Hume wo document scan karake online upload
karane padate hai. Tabhi hum online name, address, ya phir DOB change kar
sakate hai.
To is tarah hum online, offline apna mobile
number add ya update kar sakate hai.
Iske related aapke man me koi
sawal ho to aap comment ke through hum se puch sakate hai.
Mobile number se aadhar card me name change kaise kre jiska koi docomanment nhi hai maleb 5 salki umer hai
ReplyDelete@Aajam,
DeleteMobile se aadhar card ka name change karane ke liye aapko ek to document chahiye.
Aadhar card se mobile number to link hain lekin uska koi documanment nhi hain koi solutions hoto btao
ReplyDelete@Aajam,
DeleteIska koi solution nahi hai, aapke ek document upload karna hoga.
nera old number ko gaya to new number jodne ke liye kya kre
ReplyDelete@Dheeru,
DeleteAaadhar me mobile add karane ke liye ek to aap Aadhar center me jayo, ya phir by Post form fill kar ke submit kardo.
Mai adhar kard banete samay bomber diya that lekin abhi not registered dikata hai .kaise registered kre bataye .adhar center par jata hoo to 300 rupice mangta hain
ReplyDelete@Ashit,
DeleteMobile number aadhar center par jakar hi register karana hoga. Aur iski fess waise to Rs.25 hai, lekin aadhaar center wale jayada lete hai, aap unko Rs.100 dijiye.Isse jyada mat dijiye.