Apne Name Ki ringtone Kaise Banaye.Aaj har kisi ke pass smartphone maujud
hai, aur sath me hi usme dher sari facility hai. To hum kayi baar yesa dekhate
hai ki kisi friends ke mobile par jab call aata hai tab uske naam ki ringtone
banaje lagati hai.
Tabhi hum sochate hai ki yaar iske
name ki ringtone kaise bajane lagi?
To iska simple sa answer hai ki
usne apne name ki ringtone bana li aur usko apne ringtone set kar diya.
Smartphone ka feature hai ki hum
apne contacts ko alag alag image and ringtone set kar sakate hai. Agar aap bhi
apne name ki ringtone banana chahate hai to chaliye is post me aapko ye bata
deta hu ki apne name ki ringtone banakar usko kaise download kar sakate hai.
Apne Name ki Ringtone Kaise Banaye:
Ringtone kuch is tarah ki hoti
hai.
1. ------ aapko koi yaad kar raha
hai apna phone uthaye. (Hindi)
2. ------- your friend is calling
to you please pick up the phone (English)
3. ---------- aapka friends ---------
aapko yaad kar raha hai please apna phone uthaye.
4. -------- aapka phone baj raha
hai please phone uthaye.
Aapko jis tarah ki ringtone
chahiye us tarah ki ringtone aapko internet par mil jata hai.
Website 1: Bestwap.in
Step 1: Niche di gayi link pe
click kare.
Step 2: Website pe jate hi aapko 5
options show honge.
Image credit: Bestwap.in |
1. Hindi – Ringtone
Agar aap hindi me ringtone chahate
hai to yaha click kare phir apna name dale aur click here pe click kar de.
Aapko ringtone ready hai usko download kar le.
2. Hindi Ringtone with Caller Name:
Agar aap chahate hai ki jisne
aapko call kiya hai uska name aur aapka name ringtone me baje to ye option
select kare.
Your Name: apna name dale
Caller name: Jisane aapko call
kiya hai uska name dale.
Image credit: bestwap.in |
Click here button pe click kare
aur ringtone download kar le.
Lekin ye ringtone aapko alag alag
contact name ke anusar set karani hogi taki jab aapke dost ka phone aaye tab ye
ringtone baje.
Example:
Umesh aapka dost suraj aapko yaad
kar raha hai please phone uthaye.
Is tarah niche 3 option ki help se
aap message tone Hindi aur English me bhi bana sakate hai.
Website 2:
Agar aapko upar di gayi website
pasand nahi aati hai to niche di gayi website try kare.
Step 1:
Is website pe chale jaye.
Step 2:
Ab aapko search ka option show
hoga usme aapka name dal de.
Example: Umesh
Aur search button pe click karde.
Step 3:
Ab aapke samane us name se realted
jitani bhi ringtone is site par available hai wo show hogi aapko jo pasand ho
usko aap yaha se download kare. Aur apni ringtone set kar de.
To is tarah in 2 websites ki help
se hum online apne name ki ringtone bana sakate hai.
Waise bhi internet par bahut sari
ringtone available hai aap apna naam direct google me bhi search kar sakate hai
ki aapko kis parkar ki ringtone chahiye.
Example: “Umesh aapko koi yaad kar
raha hai ringtone.”
Is tarah google pe serach karane
par bhi aapko behat sari ringtones mil jayegi.
To aapko ye post kaisi lagi
comment me jarur bataye.
Tags:
Apne Naam Ki Ringtone Kaise Banaye,
name ringtone download online
naam ringtone fdmr
apne naam ki caller tune banaya
aapka phone baj raha hai ringtone download
papa ka phone aaya ringtone download
0 Comments: