Agar aap ek youtuber hai to aapke
dimage me ye question aaya hoga ki apne videos par subscribe button kaise add
kare.
Hum youtube par apan channel
banakar usko adsense ko jodkar monetize karake lakho rupay kama sakate hai, aur
kayi log isse paise bhi kama rahe hai.
Jab bhi hum kisi ka video youtube
par dekh rahe hote hai, tab usme hume subscribe button show hota hai. Jaha par
click karane par wo channel subscribe ho jata hai.
Agar aapka bhi youtube channel hai
aur aapko pata nahi ki video par subscribe button kaise add kiya jata hai to is
post ko thik se read kare aapko mai bataunga ki apne videos par subscribe button
kaise add kiya jata hai.
Subscribe Button Add Kyon Kare:
1. Subscribe button video par add
karane se humare subscriber easily increase ho jate hai.
2. Viewer easy humara channel
subscribe kar sakata hai.
3. Sabhi professional channel par
is tarah ka subscribe button add hota hai, isliye hume bhi add karana chahiye.
Youtube Video Par Subscribe Button Kaise Add Kare
Aap chahe to apne channel ke liye
apna logo subscribe button ke taur par add kar sakate ahi.
OR
Google se subscribe button ki
image download karale.
Step 1:
Apne youtube channel ko open kare.
Aur apne channel ke dashboard par chale jaye.
Step 2:
Channel ka jaha par humane description
diya hota hai, waha par ek setting ka icon hota hai, uspar click kare.
Step 3:
Uske bad ek popup open hoga usme
advanced settings par click kare.
Step 4:
Uske bad channel me niche hume
branding ka option show hoga, branding par click kare aur aage add watermark
par click karde.
Step 5:
Next step me hume ab subscribe
button hai usko select karana hai, agar aap chahate hai ki aapka logo hi subscribe
button ke taur par use ho to wahi choose kare.
Choose file par click karake subscribe
button ko select kare aur Save par click kare.
Step 6:
Ab next hume branding watermark me
humara button show hoga aur right side me Display time me 3 option
honge. Usme se ek option Entire video select kare yesa karane se subscribe
button video start hone par dikhayi dega aur wo pura video end hone tak show
hoga.
Ab humane apne video par successfully
subscribe button add kar liya hai.
Video ke open karake aap check kar
sakate hai ki button show ho raha hai, ya nahi.
Aapko ye post kaisi lagi comment
me jarur bataye. Humare blog ke latest updates pane ke liye subscribe jarur
kare.
Also Read:
0 Comments: