Kayi bar hum movie dekhate hai,
unme actor’s ke double role hote hai. Tabhi hum sochate hai, ki aakhir ek hi
isaan same time 2 role kaise play karata hoga.
Lekin movies banane ke liye high definition
camera aur editing ke liye Sony Vegas, adobe after effect, adobe premiere pro
etc. Ye sabhi software paid hote hai aur inki price kafi high hoti hai.
Kya kabhi aapne socha tha ki kash
mai bhi apni yesi double role wali video bana saku.
Aaj mai aapko yese software ke
bare me batane wala jisse aap free me apna double role wala video bana sakate
hai.
Uske liye hume 1 bhi paisa kharch
karane ki jarurat nahi hai. Aur ye video hum apne android mobile se bana sakate
hai. Agar aap bhi apna khud ka double role wala video banana chahate hai, aur
apne dost ko impress karana chahate hai to niche di gayi step follow kare.
Android Mobile Se Double Role Wala Video Kaise Banaye:
Ikse liye hume google play store
se SplitVid – Split Video Camera is application ko install karana hai.
Iske kuch khas features hai, uske
bare me pahale baat karate hai.
Features:
SplitVid Bilkul free hai.
Self-timer bhi diya gaya hai.
Screen ko adjust kar sakate hai.
To chaliye janate hai video banane
ke liye hume kya karana hoga.
Step 1:
Sabse pahale google play store par
chale jaye aur waha par SplitVid – Split Video Camera search kare aur
apne mobile me install karle.
Step 2:
Ab application ko open kare aur open
camera par click kare.
Step 3:
Ab aapke samane camera open ho
jayega usme aaapko screen half divided dikhegi jisme half screen clear dikhayi
degi aur half thodi si blur dikhayi degi.
Step 4:
Jab hum recording start karate hai
to pahale us half part me recording start ho jayegi jab wo recoding puri ho
jaye to stop ke button par click kare. Ab next half part me hume recording
karani hai but aapko ab apni position change karani hogi jisme lage ki aap
dusare double role se bat kar rahe hai. Aap niche image dekh sakate hai.
Step 5:
1 half aur 2 half screen record
karane ke bad stop par click kare ab wo dono half screen automatic merge ho
jayegi. Ab aapka double role wala video taiyaar hai.
Video start karake aap dekh sakate
hai ki video kaise dikh rahi hai.
Isme aap screen ko apne hisaab se
adjust kar sakate hai. Lekin video record karate samay aap ye dhya me rakhe ki
camera jyada hile na nahi to wo video thik se nahi show hogi.
Is tarah hum apne android mobile
se apna khud ka double role bana sakate hai, aur apne dosto ko send kar sakate
hai.
Agar aapko upar di hui step me koi
dikkat ho to aap niche comment me hume bata sakate hai.
Humare latest update pane ke liye
humara Facebook page like kare aur subscribe kare.
0 Comments: