Data Entry aur Data Entry Operator ye word hume daily apne regular life me sunane ko milate hai.
To aapme se kayi iske bare me
janate honge ki data entry kya hota hai. Data entry operator ka job kis tarah
ka hota hai.
What is Data Entry?
Data entry ka matlab hota hai,
Electronic type se data ko process karana, upsar work karana, word processer me
type karana. Kisi progmming ke liye code likhana is tarah ke jo bhi kam hote
hai usko data entry kaha jata hai.
Ye sub work computer par kiya jata
hai. Word processor, excel, in jaise alag-alag software ka istmaal data entry
ke liye kiya jata hai.
Data entry ka use company me kiya
jata hai. Data entry hum offline, online in dono tariko se kar sakate hai.
To wahi bade bade office me bhi
data entry operator ki jarurat padati hai, kyon un company ka data, bahut
jayada hota hai, aur unko manage karane ke liye data entry operator ka use kiya
jata hai.
Data Entry Operator Kya Hota Hai?
Is tarah ke data ko write, edit,
update, delete yane manage karane ke liye jin logo ka istmaal kiya jata hai,
usko data entry operator kaha jata hai.
Data entry operator ke liye bahut
jyada knowledge ki jarurat nahi hoti hai. Agar aapke pass basic computer ka
knowledge hai, aapko computer typing aati hai, to aap bhi data entry operator
ka job kar sakate hai.
Iske liye aap kisi bhi private company,
office me data entry job ke liye apply kar sakate hai.
Salary Kitani hoti hai?
Isme salary work ke ansuar provide
ki jati hai. Yane wo company par depend hota hai, ki company aapko kis tarah
payment provide karegi.
Isme aam taur par hourly basis, ya
phir monthly basic par aapko payment ki jati hai.
Wo company par depend hota hai, ki
wo kis prakar aapko payment deni wali hai.
Some FAQ’s Regarding Online data Entry Jobs:
1. Kayi websites, people online
data entry job provide karati hai kya ye such me payment karti hai?
- Iska answer aapko khud hi pata
karana hoga. Agar aap kisi online data entry par job karana chahate hai to
aapko usse pahale google par us website ke bare pahale review check karanga
hoga. Jo log pahale us website par work karate hai unse bat kare.
2. Online Data entry job ke liye Registration
fees mang rahe hai kya kare?
- Mai personally aapko salah dunga
ki is tarah ke chakkar me na fase. Kyon ki kayi yesi fraud website internet par
maujud hai, jo pahale registration ke naam par humse paise lete hai aur bad me
hume payment bhi nahi karate hai. Aur koi work bhi provide nahi karate hai.
3. Kya such me online data entry
job se paise kama sakate hai?
- Iske bare me kuch kah nahi
sakate hai kyon ki internet par trusted site find karana bahut hi mushkil hota
hai.
Note: Personally aapko yahi salah
hai ki aap online data entry ke chakkar me na fase.
Agar data entry ka job hi karana
hai to kisi private company, office me apply kar sakate hai.
Thanks sir.good advice.
ReplyDeleteMujhe bhi aise bahut call aaye the , main suspension me pad gaya ki kya karu .
ReplyDeleteFeedback dene ke liye thank u sir
good advise
ReplyDeleteThanks for a great advice
ReplyDeleteMe self data entry office open kr skta hu
ReplyDelete@Vikram,
DeleteHa, Kar sakate hai.
Umesh sir kya offline data entry vale office vale deposit lete he???
ReplyDelete@Technical sultan,
DeleteHa offline data entry kar sakate hai, aur wo deposit bhi nahi lete hai.
b.a ke bad kya krna chahiye computer me
ReplyDelete@Govind,
DeleteB.A Ke Bad M.A., UPSC, Railway, Banking ki taiyari kar sakate hai.
sir me b.com 2nd year ka student hu sir me part time online data entry job karne ki soch ra hu aapki kya advise he sir karu ya nahi
ReplyDelete@Ankesh,
DeleteAgar aapke ghar ki financial Condition acchi hai to job mat kariye. Pahale study complete kariye.
Aur agar aapki financial condition acchi nahi hai to ek part time job ke sath study puri kariye.
Sir mujhe call aaya h data entry operator ke liye registration fees 2000 maang rahe h ha bolu ya na
ReplyDelete@Denendra,
DeleteBina paiso ke hai to kariye other wise na kare.