Aaj hum baat karenge un website
aur application ke bare me jo aapke bahut hi kaam ki hai. 500, 1000 ke note
band hone ke bad ATM par itni bhid umad gayi hai, isse hume bahut pareshani ho
rahi hai.

Subhah uthate hi ATM ki line me
lagana padata hai, aur kabhi kabhi to humara Number aata hai ATM me jo cash hai
wo khatm ho jati hai.
Aur humare nazdik jo ATM hai unme
cash hai ya nahi ye bhi hume pata nahi hota hai.
Isliye aaj hum is topic par
charcha karenge ki Jis ATM me cash hai wo atm kaise find kare.
Find ATM With Cash By Using Website:
Hum ek yesi website ke bare me
janane wale hai jis par hume humare re nazdik jitane bhi ATM hai unki list mil
jayegi. Aur sath me ye bhi pata lag jayega ki un ATM cash hai ya nahi to
chaliye janate hai.
Step 1:
Sabse first apne mobile, computer
ke browser me cashnocash.com is website ko open kare.
Step 2:
Website open karate hi huma waha
par ek search box show hoga. Ab aap jis area me ATM find karana chahate hai,
uska Postal PIN Code us search box me dalakar Find Cash par
click kare.

Step 3:
Ab us area me jitane bhi ATM honge
unki list humare samane hogi. Aur jin ATM me cash nahi hai uske samane no cash red word me show hoga.
Aur jis ATM me cash available hai
uske samane Cash green word me show
hoga.


Uske samane ATM kis bank ka hai
uska address kya hai ye bhi aapko dikhayi dega.
Agar aapko us ATM ka map dekhana hai
to Maps and direction par bhi click kar saktae hai.
Step 4:
Agar aapke area me kisi bhi ATM me
cash available nahi hai to aap Alert me Button jo right side me hai uspar click
kare.

Aur apna email id dale. Ab jab
aapke area ke ATM me cash available ho jayegi tab aapko mail se pata lag
jayega.
Is tarah hum ghar baithe ye jan
sakate hai ki kis ATM me cash hai aur kis ATM me cash available nahi hai. Isse
humara time, save hoga.
Valnut Android App Se
Kaise Pata Lagaye:
Valnut app ke jariye hum apne
android mobile se ye pata laga sakate hai ki kis ATM me cash available hai.
Is aapko pahlae Google Play Store se download karana hoga. Is aap ke jairye aap bahut sare kam kar
sakate hai, uske kuch feature hum dekhate hai.
Features:
1. Humare near ke ATM jinme cash
hai ya nahi find kar sakate hai.
2. Friend ko Free me money
transfer kar sakate hai.
3. Bank balance check kar sakate
hai.
4. Bill Pay Kar sakate hai.
5. Iske jariye cash ATM ki exact
location wo bhi Maps ke sath dekh sakate hai.

Valnut aap ki google play store
par 4.4 rating hai yane isse hume ye pata lagega ki ye app kitana popular hai.
To is tarah hum upar di gayi
website aur app ke jairye kis ATM me cash available hai ye find kar sakate hai.
0 Comments: