Aapme se kayi log marketing, sell, and company
se other call se pareshan hai, to aapko ye post read karani chahiye.

Kabhi kabhi yesa ho jata hai, ki bahut
hi important time jaise meeting, me ya kahi aur hume company ka call, message
aa jata hai.
Aur sabhi logo ko attention humari
taraf ho jata hai. Yesa hone par hume bahut bura lagata hai, isliye aap socahte
hai, ki kash mai in company ke call ko block ya band kar pata. To chaliye janate hai kaise in
company ke call ko band kiya jata hai.
DND Kya Hai:
DND ko Do Not Disturb Kaha jata
hai, yane disturb na kare. Iske jariye hum kisi bhi company ke calls, sms, ko
band kar sakate hai.
Jo bhi promotional messages, call
hote hai, wo fully ya partially hum apne hisab se block kar sakate hai.
Ukse liye hume pahale DND service activate
karani padati hai.
DND activation sabhi telecom
company ke liye same hi hai. Aap jis kisi telecom company ka sim card use
karate hai uske liye aapko niche di gayi step follow karani hai.
DND Kaise Activate Kare:
Step 1:
Apne mobile ke message box me
chale jaye aur waha pe message type kare.
START 0 aur send
kar de 1909 par.
START 0 – 0 Ka matlab hai, aap
sabhi tarah ke calls, message block karana cahate hai.
START 1 -1 ka Matlab hai banking, finance,
credit, debit card se related message, call ko block karana.
START 2 Real estate
START 3 Educational message, calls
START 4 Health Related calls,
message
START 5 Automobiles
START 6 Communication, IT,
Entertainment Se Related
START 7. Tourism,
Agar aapko koi specific service
stop karani hai to kuch is tarah message karana hoga.
START 2 aur Send
karana hai 1909 par
Step 2:
Message send karane ke bad aapko
ek return message aayga jisme hume iske confirmation ke bare me bataya jayega.
Aur DND service next 7 days me activate ho jayegi.
How to deactivate DND
Service:
Agar aapke mobile pe pahale se DND
service active hai aur aap usko deactivate karana chahate hai, to aapko niche
di gayi step follow karani padegi.
Lekin jab aap DND service
deactivate karate hai tab aapko company ke message, call aane shuru honge.
Step 1:
Mobile ke message box me chale
jaye aur message type kare.
STOP 0 aur send karde, 1909 par.
Call se DND activate/
deactivate kaise kare:
Hume direct call se bhi DND start
ya stop kar sakate hai.
1. Apne mobile se 1909 par call kare.
2. Ab aapko full, ya partially DND
activation, deactivation ke liye pucha jayega.
Aapko kya karana hai, uska keypad se
reply de.
3. Is tarah 1909 par call karane
par bhi DND start ya stop ho jayegi.
1909 par call karane ke liye ya
message karane ke liye hume kisi bhi parkar ka charge nahi lagega. Ye services
bilkul free hai.
To is tarah hum DND se company ke
calls, sms se chutkara pa sakate hai.
0 Comments: