Google Chrome sabse Jayda use hone
wala browser hai, kyon is aur browser se thoda hatake hai. Google chrome world
ko hum ka top most browser kah sakate hai. Lekin aaj bhi kayi yese log hai, jo
google chrome ke browser ke bare secrets tricks, tips hai jo nahi janate hai.

Chrome browser almost sabhi operating
system (Windows, MAC, Linux, Android, ) aur sabhi devices ko support karata
hai.
Google Chrome Secret Tips & Tricks:
1. Use Chrome As
Notepad:
Hume text related koi bhi kam
karana ho to hum uske liye notepad ka use karate hai. Lekin shayad aap ye nahi
janate honge ki google chrome ko hi hume notepad ki tarah istmaal kar sakate
hai.
Agar aapko internet se kuch important
information note down karani hai to iska use kar sakate hai.
Uske liye chrome me ek new tab
open kare aur URL me
data:text/html, <html
contenteditable>
Enter Kar de.

Aapke samane ek blank white screen
show hogi ab aapko jo bhi type karana usme type kare.
2. Bookmark Manger:
Humara work kayi sari website par
hota hai, aur har ek website ka url yaad rakhana mumkin nahi. Isliye humari
jaruarat ki website ko hum bookmark me save kar sakate hai.

Google chrome me hum easily
bookmark ko manage kar sakate hai. Bookmark manger me hum apne hisab se folder
bananakar usme site ko bookmark kar sakate hai. Isse hum kon si site kaha par
bookmark ki gayi hai, ye jaldi samaj me aa jayega.
Aap niche image me dekh sakate
hai, maine alag alag folder banakar uske site ko bookmark kar diya hai.
Kisi bhi site ko bookmark karane
ke liye “CTRL + D” press karana hota hai. Humari website ko bhi aap
bookmark me save kar sakate hai.
Bad me hume jab bhi website ki
jarurat pade hum bookmark se us website ko open kar sakate hai.
3. Auto Fill Data:
Hume kayi bar humara name,
address, mobile number, is ka dtab hume bar bar fill karana padata hai, lekin
kya aapko pata hai ye kam aap sirf 2 seconds ke under kar sakate hai.
Google chrome hume yesi facility
provide karata hai, jisse hum 1 seconds me web forms ko auto fill kar sakate
hai.
Auto fill me data ko save karane
ke liye google chrome ke
Setting me jaye – show advanced
setting – passwords & Forms jaye
Enable auto fill to fill out web
forms in a single click ko tik mark kar de.
Mange auto fill setting par click
kare. Add new street address par click kare.

Ab aapna name, address, number add
karake Done pe click kare. Isme aap jitane chaho utne address, details
add kar sakate hai.
Ab aap jab bhi online kahi par
apna name, enter karoge google chrome aapko auto fill ka suggestion dega.
4. Guest Browsing:
Guest browsing ek behatarin
feature agar aapka laptop ya computer aap kisi aur dost ko dena chahate hai to
yese me aap apan personal data jo bhi google chrome me hai, usko usse hide
karane ke liye hum guest browsing enable kar sakate hai.
Guest browsing enable karane ke
liye Settings > People > and check "Enable Guest Browsing.

5. Protect from
Unsafe Sites:
Google chrome apne user ko sabse
acchi service provide karane ka kam karata hai, isliye ye duniya ka top browser
hai, isliye ye apne user ki privacy ko secure rakhane par work karata hai.
Chrome hume unwanted sites,
spamming site se bachata hai, agar aap galati se kisi unsafe site par chale
jate hai to google chrome hume warn karata hai ki website unsafe hai, is
website ko abhi close karde.

Islike hume chrome ki setting – show
more setting – privacy – protect you and your device from dangerous sites is
option on tik mark karana hai.
Isse aage jab bhi aap kisi unsafe
site par chale jayoge to chrome hume warn kar dega.
Isi wajah se google chrome sabse Jayda
use hone wala browser hai. Aapko ye post kaisi lagi comment me jarur bataye.
0 Comments: