Payza Account se Money to direct
apne bank account me kaise withdraw kiya jata hai, iske bare is post me aapko Jankari
milegi.
PayPal ke bad subse jayada use
hone waha payment processor hai Payza.
Agar aapke pass Payza account hai
aur usme jo money hai wo aap apne bank account me withdraw karana chahte hai to
aap niche diya hua tutorial follow kare.
Payza se hum direct kisi bhi local
bank account me money withdraw kar sakate hai.
Payza Money Ko Indian Bank Account Me Withdraw Kaise Kare
Withdraw karane se pahale aapko ye
dhyan me rakhana hoga ki aapka jo Payza account hai wo verified hona jaruri
hai.
Aur next aapne Payza Account me
bank account details add ki gayi honi jaruri hai.
Isko read karake aap dekh sakate
hai.
To chaliye janate hai ki apne fund
ko bank account me kaise withdraw kare.
Step 1:
Payza ki website ko browser me
open kare. Aur apna user id, password dalke login karle.
Step 2:
Payza ke dashboard me aapko
Withdrew fund ki link show hogi uspar click kare.
Waha pe aapko 4 options show
honge:
1. Bitcoin: Free 2%
Agar aapne Payza fund ko bitcoin
account me withdraw karana chahte hai to bitcoin select karane uske liye aapko
2% charge lagega.
2. Bank Transfer: Fee Varies
Hume bank transfer karana hai to
hum ye option select karenge. Uska charge hota hai wo aapke fund pe depend hota
hai.
Iske liye fee 60 INR withdraw fee
hoti hai aur, sath me 2.5% conversion fees hoti hai.
3. Bank wire: Fee $15 USD
Bank wire transfer ke liye $15 US
dollar fees charge ki jati hai.
Isme hume bank transfer ko select
karana hai.
Step 3:
Next step
From Balance:
Me aapke Payza account me jo fund
hai wo kis currency me hai wo select kare.
Niche bank account select kare.
Reason for Withdrawal:
Payza se fund kisliye withdrawal
karana chahte hai uska reason select kare.
Amount: Isme withdraw amount dale.
Next par click kare.
Step 4:
Next step me hume transaction
details show hogi, jaise exchange rate, fees, aur niche apana transaction pin
enter kare aur withdrew par click kare.
Step 5:
Withdraw par click karate hi aapko
transaction details ka message show hoga. Ab Payza team aapke transaction ko
approve karegi. Uske liye maximum 4-5 days lag sakate hai.
Us message me aapko expected date
bhi show hogi. Message kuch niche diye gaye image ki tarah hoga.
Step 6:
4-5 din ke bad aapko Payza mail aa
jayega aur aapne jo withdraw kiya tha wo aapne bank account me transfer kiya
gaya hai. Aur usme bhi aapko transcaton ki puri details send ki jata hai.
To is tarah simple in steps ko
follow karake hum Payza fund ko local bank account me withdraw kar sakate hai.
Agar aapke man me koi sawal ho to
aap comment ke through humse puch sakate hai.
Thank you sir ji , Happy New Year 2018
ReplyDelete