Payza Money Ko Indian Bank Account Me Withdraw Kaise Kare

Payza Account se Money to direct apne bank account me kaise withdraw kiya jata hai, iske bare is post me aapko Jankari milegi.

Payza Money Ko Indian Bank Account Me Withdraw Kaise Kare

PayPal ke bad subse jayada use hone waha payment processor hai Payza.
Agar aapke pass Payza account hai aur usme jo money hai wo aap apne bank account me withdraw karana chahte hai to aap niche diya hua tutorial follow kare.

Payza se hum direct kisi bhi local bank account me money withdraw kar sakate hai.

Payza Money Ko Indian Bank Account Me Withdraw Kaise Kare

Withdraw karane se pahale aapko ye dhyan me rakhana hoga ki aapka jo Payza account hai wo verified hona jaruri hai.
Aur next aapne Payza Account me bank account details add ki gayi honi jaruri hai.
Isko read karake aap dekh sakate hai.
To chaliye janate hai ki apne fund ko bank account me kaise withdraw kare.

Step 1:
Payza ki website ko browser me open kare. Aur apna user id, password dalke login karle.


Step 2:
Payza ke dashboard me aapko Withdrew fund ki link show hogi uspar click kare.
Waha pe aapko 4 options show honge:


Withdraw Fund Link


1. Bitcoin: Free 2%
Agar aapne Payza fund ko bitcoin account me withdraw karana chahte hai to bitcoin select karane uske liye aapko 2% charge lagega.
2. Bank Transfer: Fee Varies
Hume bank transfer karana hai to hum ye option select karenge. Uska charge hota hai wo aapke fund pe depend hota hai.
Iske liye fee 60 INR withdraw fee hoti hai aur, sath me 2.5% conversion fees hoti hai.
3. Bank wire: Fee $15 USD
Bank wire transfer ke liye $15 US dollar fees charge ki jati hai.
Isme hume bank transfer ko select karana hai.


Step 3:
Next step 
First step

From Balance:
Me aapke Payza account me jo fund hai wo kis currency me hai wo select kare.
Niche bank account select kare.
Reason for Withdrawal:
Payza se fund kisliye withdrawal karana chahte hai uska reason select kare.
Amount: Isme withdraw amount dale.
Next par click kare.

Step 4:
Next step me hume transaction details show hogi, jaise exchange rate, fees, aur niche apana transaction pin enter kare aur withdrew par click kare.

Enter Pin


Step 5:
Withdraw par click karate hi aapko transaction details ka message show hoga. Ab Payza team aapke transaction ko approve karegi. Uske liye maximum 4-5 days lag sakate hai.


Us message me aapko expected date bhi show hogi. Message kuch niche diye gaye image ki tarah hoga.

Message


Step 6:
4-5 din ke bad aapko Payza mail aa jayega aur aapne jo withdraw kiya tha wo aapne bank account me transfer kiya gaya hai. Aur usme bhi aapko transcaton ki puri details send ki jata hai.

Mail


To is tarah simple in steps ko follow karake hum Payza fund ko local bank account me withdraw kar sakate hai.
Agar aapke man me koi sawal ho to aap comment ke through humse puch sakate hai.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

1 comment: