PHP Kya Hai, PHP in Hindi, PHP Full form in Hindi, PHP Web development ke liye
istmaal ki jati hai. Agar aap computer science, ya IT field ke student hai to
aapko ye language jarur sikhane ko milegi.
Aaj hum PHP ka sirf introduction
janate hai, ki PHP kya hai iska istmaal kyon hota hai.
What is PHP?
PHP General Purpose scripting language
hai jiska use HTML tags ke sath kiya jata hai.
PHP open source scripting language
hai jo dynamic webpage create karane ke liye kiya jata hai.
PHP ka full form hai, Hypertext
Preprocessor.
PHP ko first version Rasmus
Lerdorf 1994 ne start kiya tha. Ye ek Open source language hai, jise har
koi use, modify kar sakata hai.
PHP ke sath hum almost sabhi type
ke database use kar sakate hai jaise, MySQL, Oracle, Microsoft SQL Server etc.
PHP Language ka Syntax C Language
ki tarah hi hai.
Most of the E-commerce website PHP
language me hi banayi gayi hai.
PHP Kyon Istmaal Ki jati
Hai:
PHP dynamic website, webpages
create karane ke liye use ki jati hai.
PHP ke trough hum file par work
kar sakte hai, jaise file ko read, write, open, close karana.
PHP forms par work karati hai,
jaise form se input lena aur output provide karana etc.
PHP data ko encrypt kar sakati
hai, jisse user ko high security provide ki jati hai.
PHP ke through database ko manage
kar sakate hai, jaise data add, update, delete karana.
PHP ke jariye hum user ko specific
page ko access karane se restrict kar sakate hai.
PHP Sikhane ke Liye Requirement:
Agar aap PHP language sikhana
chahate hai to aapko kuch chizo ki jarurat padegi.
1. Local Server:
Isse hum apne personal computer me
install karana hota hai.
PHP sikhane ke liye Xampp, or
Wamp Server isme se koi bhi server ka use kar sakate hai.
2. Notepad:
PHP ka code hum notepad, WordPad
me write kar sakate hai.
3. Browser:
Code ko run karane ke liye hum kisi
bhi browser ka use kar sakate hai.
PHP Kaise Sikhe:
Agar aap PHP language sikhana
chahte hai, to iske liye aap kisi acche coaching center join karake bhi sikh
sakate hai.
Iske bawajut aap PHP online bhi
sikh sakate hai, humari website par bhi iske bare me aage post ki jayegi jo
hindi me hogi.
Best site to Learn PHP:
1. W3schools.com
Yaha pe aapko PHP ke bare me a-z
details mil jayegi. IT filed aur web development se related sabhi tutorial aapko
is site pe mil jate hai.
Sabhi programmer, students is site
ko hi prefer karate hai.
2. Tutorialspoint.com
Ye ek Indian Website hai jaha pe almost
sabhi tutorial aapko mil jate hai.
3. YouTube:
PHP ke bare me aap youtube par bhi
tutorial dekh sakate hai.
4. PHP.net
Is site par aapko sirf aur sirf
php se related tutorial mil jate hai.
PHP ek open source scripting
language hai isliye ye kafi famous hai, aur isme bahut acchi security bhi mil
jata hai.
Bhai muje php HTML seekha do or sab SE pehle to HTML ki coding seekha do plzzz bhai muje hacker banna hai plzzz ap jab bhi post krenge to HTML ki coding ke bare post krona bhai plzzz plzzz
ReplyDelete@Technical Imran,
DeleteUpar humane sites batayi hai waha se aap sikh sakate hai. Ya phir Youtube pe hindi me bhi sikh sakate hai.