Jab hum apne blog ka template
change karane jate hai, tab hum janate hai ki blogger template ko xml me upload karana hota hai, Kyon ki blogger template xml
format me ho to hi hum upload kar sakate hai.
Lekin hum jaha se bhi template download
karate hai, wo Zip format me hoti hai. Isliye hume zip file ko xml me convert
karana padata hai.
Uske liye hume Win RAR software ki
jarurat padata hai.
Win RAR Kya Hai?
Win RAR ek software hai jiski help
se hum RAR, ZIP, RAR 5 files create kar sakate hai, ya phir in files ko extract
bhi kar sakate hai.
Win RAR software bahut popular
software hai, ye ek file compression software hai, jiski help se hum kisi bhi
file ko compress kar sakate hai.
Win RAR software free hai, hum
isko free me lifetime ke liye use kar sakate hai.
Blogger Template Zip
File Me Kyon Hoti Hai:
Har ek blogger template zip ya
phir RAR format me hoti hai. Ye ke compression method hai, jisse hum file size
reduce kar sakate hai, aur ek hi file me kayi file compress kar sakate hai.
Jab hume blog pe new template
upload karanai hoti hai, to pahale hume us template ko Zip se XML me convert
karana padata hai. Wo kaise kiye jata hai yahi hum dekhate hai.
Template ko zip se xml format me kaise convert kare:
Step 1:
Sabse pahale aapke pass Win RAR
software computer par install hona jaruri hai.
Agar aapke pass win rar software
nahi hai to google par win rar dalkar search kare aur usko download karle. Win
rar software ki size kuch 4-5 MB ki hai.
Step 2:
Win RAR software install karane ke
bad waha se template ki zip file ko open kare. Ya direct template ki zip file
par click kare wo zip file win rar me open ho jayegi.
Step 3:
Ab Extract to par click karde.
Step 4:
Ab aap template ko kis location
par extract karana chahate hai wo location select kare jaise desktop.
Aur niche ok par click kare.
Step 5:
Ab humari files extract ho jayegi.
Humane jaha par files extract ki hai wo location open kare. Ab aap us folder me
template ka xml version dekh sakate hai.
Step 6:
Blogger dashboard se template
upload karate samay ab aapko template ka xml version select karana hai.
Agar aapke pass computer nahi hai
to aap apne mobile se bhi ye kam kar sakate hai.
1. Mobile se zip ko xml me convert
karane ke liye aapko mobile me google play store se RAR (RAR Lab) ye
application install karana hoga.
2. RAR app ko install karake open
kare. Isme se ab blogger template ko open kare aur usse file extract kare.
3. Zip template xml me convert ho
jayegi.
To Is tarah hum simple steps se
apne mobile, ya phir computer se convert kar sakate hai.
Kisi bhi step me aapko koi problem
ho to aap hume comment me puch sakate hai aur humari blogger se related aur bhi
post aap read kar sakate hai.
Bahut achhi jankari
ReplyDeleteJankri dene ke liye thanks. wordpress pe bhi xml file support karta hai kya
ReplyDelete@Phaguni,
DeleteWordpress par XML nahi upload kar sakate.