आधार कार्ड बैंक account से लिंक हुआ हैं या नहीं,आधार
कार्ड बैंक account से जुड़ा हुआ हैं या नहीं?
Aadhaar linking status kaise check kiya jata hai iske bare me aaj hum dekhenge.
Aadhaar linking status kaise check kiya jata hai iske bare me aaj hum dekhenge.
Humara kisi bhi bank ka account
kyon na ho hume usse apan Aadhaar link karawana compulsory ho gaya hai.
Agar aapko pata nahi ki aapne bank
se Aadhaar number link karawaya hai ya nahi ya uska status check karana chahate
hai to aapko niche di gayi step follow karani hogi.
Benefits of Linking Aadhaar to Bank Account:
Agar aapko pata nahi ki aakhir Aadhaar
bank se link karawana kyon jaruri hai to iske bare me pahale hum bat karenge.
1. LPG cylinder subsidy:
Aapki jo LPG ki subsidy hai wo aapke bank account me direct aayegi agar aapne Aadhaar
number bank se link kiya hai to.
2. MNREGA: MEREGA
jaise jo government scheme hai unka payment me bank account me hi jama hoga.
3. Scholarship: Jin
student ko scholarship milati hai wo unke account me tabhi jama hogi jab unke
naam ka bank account aur uske sath Aadhaar link hoga.
Aur bhi bahut si government
schemes hai jiski amount humare bank account me aa jati hai, lekin uske liye humara
Aadhaar bank account se juda hona jaruri hai.
How To Check Aadhaar Linking Status to any Bank Account:
Step 1:
Sabse pahale https://resident.uidai.gov.in/check-aadhaar-linking-status
UIDAI ki official website par
chale jaye.
Step 2:
Ab humare samane ek form hoga
jisme
Aadhaar Number: Isme apna
12 digit ka Aadhaar number dale.
Enter the security code: Yaha pe
jo upar 4digit diye hai unko us box me dalana hai.
Phir niche Verify Par click
karde.
Step 3:
Verify par click karane ke bad
aapko aapke Aadhaar link ka status show hoga. Agar aapka Aadhaar number bank se
juda hua hai to waha
Bank Linking status: Active
Bank name: yaha par jis bank se
juda hua hai uska name show hoga.
To is tarah hum simple 2 steps ko
follow karake apan Aadhaar link status check kar sakate hai.
Agar aapka Aadhaar bank se linked
nahi hai to aap apne bank me jakar usko link karawa sakate hai.
State bank ki internet service
active hai to aap online bhi link kar sakate hai uske liye ye article read kare.
Kuch problem ho to comment me hum
se share kar sakate hai.
0 Comments: