Aaj Youtube par kayi log apne
channel ko mobile se manage karate hai. Unke pass pc nahi hai isliye wo
introduction video nahi bana sakate hai, lekin aaj is post me hum dekhenge ki
mobile se hi youtube channel ke liye best animated intro video kasie banaya
jata hai.
Introduction Video
Kya Hota Hai?
Intro video jo humare video ke
start me hota hai aur jo humare channel ki main logo, name humara jo moto hota
hai wo isme aata hai. Sabhi professional youtuber apne channel ke har ek video
me intro video add karate hai.
Isse humare channel ke subscriber increase hote hai aur channel ka alag hi impression bhi ban jata hai.
Isse humare channel ke subscriber increase hote hai aur channel ka alag hi impression bhi ban jata hai.
To chaliye janate hai ki mobile se
Intro video kaise banaya jata hai.
Animated Intro Video Kaise Banaye:
Step 1:
Google play store par chale jaye
aur waha par “Legend – Animate text in video “ is app ko search karde.
Features of Legend – Animate text
in video:
Bilkul free hai.
Isse video banakar mp4, gif format
me save kar sakate hai.
20 Best animation effect add kar
sakate hai.
Text ko alag alag font me add kar
sakate hai.
Step 2:
Application ko install karle iski
size kuch 19-20 mb ki hai.
Step 3:
App ko open karle. Open karate hi
aapko apne channel ka name enter karana hoga ya phir aap jo bhi likhana chahate
hai wo likh kar (ex. Hindi Me Earn)
Play par click karde.
Step 4:
Humare samane background change
karane ke liye niche alag alag background color diye hai us par one by one
click karake dekhe ki aapko kon sa background pasand hai.
Uske ke upar animation effect diye
hai aap ek ek animation effect apply karke dekh sakate hai.
Step 5:
Design complete hone ke bad niche
download ka jo icon hai uspar click kare aur aapko jis format me video save
karana hai GIF, video isko select kare. Ab aapka video SD card me save ho
jayega.
Video ko ab play karake dekh
sakate hai ki aapke channel ka intro video kis tarah dikhayi de raha hai.
To is tarah simple legend animate
application ki help se hum apne mobile se youtube channel ke liye introduction
video bana sakate hai.
Di gayi kisi bhi step me koi
problem ho to aap hum comment me puch sakate hai.
video se phale intro kase add kare
ReplyDelete@ Deepak,
DeleteUske liye video editor ka use hota hai agar aapke pass computer hai to Camtasia Studio best video editor hai wo try kare.