Computer me internet surf karane
ke liye sabse jayada google chrome browser ka use karate hai.
Lekin humare computer me jitane
bhi software hote hai unka har month, year ka update hote rahate hai aur hume
apne computer software ko update karana jaruri hai.
Software Updates Karane Kyon
Jaruri Hai?
Updates isliye aate hai taki
humare purane version me jo bhi error, kamiya hai unko updates me remove kar
diya jata hai. Aur updates ke jariye hume acchi se acchi service provide ki
jati hai.
Agar aap software’s ko updates
nahi karate hai to aapko bahut si dikkato ka samana karana padega.
Kayi log kahate hai ki humara
internet kafi slow chal raha hai, iska main reason ho sakata hai humara browser
old ho chukka hai to usko hume update karana jaruri hai.
Computer Me Google Chrome Ko Kaise Update Kare:
Agar aap google chrome ka old version use kar
rahe hai to aapka internet slow chalega, website thik se open nahi hogi ya phir
in jaise kayi problem aapko face karane padegenge. Lekin agar hum google chrome
ko update karate hai to koi bhi problem hume nahi aayegi. Aur humara data aur
bhi secure ho jayega.
Step 1:
Sabse pahale apne computer me
google chrome browser ko open kare. Aapke computer me internet shuru hona
jaruri hai.
Step 2:
Right side me jo 3 dots hai uspar
click kare.
Step 3:
Niche help par click kare aur
about google chrome par click karde.
Step 4:
Ab aapke browser ke liye updates available
hoge to chrome updates check karega.
Waha pe hume checking for updates
show hoga. Updates hone me time lagega isliye aapko thoda wait karana hoga.
Step 5:
Thode time ke bad aapka browser
update ho jayega niche hume message show hoga.
Google chrome is up to date aur
upar version bhi show hoga.
Example: Chrome version: 56.0.2924.87
Step 6:
Browser ko close karake relaunch
kar de.
Android Mobile Me Google Chrome Ko Kaise Update Kare:
Agar aap apne mobile ka google
chrome update karana chahate hai to niche di gayi step ko follow kare.
Step 1:
Google play store ko open kare.
Step 2:
Google play store par menu hai
uspar click kare aur My apps & Games par click kare.
Step 3:
Updates ke under hume apne available
updates show honge. Uspar click karake Google chrome ko select kare.
Aur waha se chrome ko update karale.
To is tarah hum apne computer,
mobile me jo chrome browser hai usko updates kar sakate hai.
Tip:
Google chrome ko har 2-4 month me
update karate rahana jaruri hai, kyon ki hum apne browser me kafi sensitive information
serach karate rahate hai.
Internet banking, online shopping
karate waqt humari ye sensitive information secure rahani jaruri hai. Agar hum
latest updated browser ka use karate hai to is tarah ki Jankari aur bhi secure
rahati hai.
Aapko upar di gayi kisi step me
koi problem ho to aap humse comment me puch sakate hai.
0 Comments: