Link pan card with sbi account. Pan card linking process. Link PAN card to SBI account online. Agar aap ne kisi wajah se bank
account me pan card nahi register kiya hai, to is post ko read karake aap SBI
bank account me apna PAN number register/link kar sakate hai.
PAN card Bank account se
Connect Karane Ke Kya Fayde Hai:
1. Agar aap bank me Rs.50000 ke
upar koi bhi transaction karana chahte hai to aapko pan card register karana
jaruri hai.
2. Aap credit card ke liye apply
karana chahte hai to bhi aapka pan bank account juda hona chahiye.
3. Agar aap business purpose ke
liye bank account use karate hai to aapko pan card bank account me add karana
jaruri hota hai.
Sbi Bank account me hum apna PAN
card online, offline in dono tariko se add kar sakate hai.
Pan Card Offline Kaise Add Kare:
Step 1:
Apne branch me visit kare, jaha
par aapka account hai.
Step 2:
Waha se PAN card updation ka form
le aur uski tik se fill kare.
Step 3:
Form fill karane ke bad details
thik se check kare. Ab form ke sath
Self-attested pan card ki copy,
aur Bank manager ke name se application jisme PAN card updation ki request ho.
Ye sab form ke sath jodkar submit karde.
Jab aap bank me form submit karate
hai tab aapko apna original PAN card bhi unko dikhana padega.
Form submit karane ke bad 7-8 days
me aapka pan number bank account se connect ho jayega.
Online PAN Card Kasie
Add Kare:
Agar aapke pass SBI ki Internet Banking Activate hai to aap pan card online bhi add kar sakate
hai.
Step 1:
Apne user id aur password se apne
account me log in kare.
Step 2:
Login karane ke bad Profile tab
pe click kare. Uske niche Personal Details pe click kare.
Step 3:
Next step me aapko profile
password puch jayega. Aapka jo profile password hai usko enter kare.
Step 4:
Left side me PAN Registration Pe
Click kare.
Ab aapka apna PAN number 2 bar enter karana hai aur submit pe click
karana hai.
Step 5:
Ab aapke registered mobile par ek
OTP aayega us OTP ko enter karke Confirm par click karana hai.
Is tarah aapne successfully pan
card number add kar liya hai.
7-8 days me aapka Pan Card aapke account
se add ho jayega. Aap pan card status bhi check kar sakate hai.
Is parkar 2 no tariko se hum apna
PAN card number sbi saving account me add kar sakate hai.
Also Read:
Is post se related aapke man me
koi sawal ho to comment me puch sakate hai.
0 Comments: